Showing posts with label Dushyant Kumar. Show all posts
Showing posts with label Dushyant Kumar. Show all posts

Ye saara jism jhuk kar bojh se duhra hua hoga

Ye saara jism jhuk kar bojh se duhra hua hoga,
main sajde mein nahin tha aap ko dhokha hua hoga.

Yahan tak aate aate sookh jaati hain sabhi nadiyaan,
mujhe maloom hai paani kahan thehra hua hoga.

Ghazab ye hai ki apni maut ki aahat nahin sunte,
woh sab ke sab pareshaan hain wahan par kya hua hoga.

Tumhare shehar mein ye shor sun sun kar toh lagta hai,
ki insaanon ke jungle mein koi haanka hua hoga.

Kayi faake bita kar mar gaya jo uss ke baare mein,
wo sab kehte hain ab, aisa nahin, aisa hua hoga.

Yahan toh sirf goonge aur bahre log baste hain,
khuda jaane wahan par kis tarah jalasa hua hoga.

Chalo ab yaadgaaron ke andheri kothri kholen,
kam-az-kam ek woh chehra toh pehchaana hua hoga. !!

Dushyant Kumar

Ho ga_ii phir parbat-sii pighalnii chaahiye,

Ho ga_ii phir parbat-sii pighalnii chaahiye,
is himaalay se ko_ii gangaa nikalnii chaahiye,

aaj ye diivaar pardo.n kii tarah hilne lagii,
shart lekin thii ki buniyaad hilnii chaahiye,

har sa.Dak par har galii me.n har nagar har gaao.n me.n,
haath lehraate huye har laash chalnii chaahiye,

sirf hangaamaa kha.Daa karnaa meraa maqsad nahii.n,
merii koshish ye hai ki ye suurat badalnii chaahiye,

mere siine me.n nahii.n to tere siine me.n sahii,
ho kahii.n bhii aag lekin aag jalnii chaahiye.

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,
kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye,

yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai,
chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye,

na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge,
ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye,

Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi,
koi hasin nazara to hai nazar ke liye,

wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta,
mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye,

jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye,
mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.