Showing posts with label Jigar Muradabad. Show all posts
Showing posts with label Jigar Muradabad. Show all posts

ashvoN ko chain hii nahiiN aafat kiye baGair

ashvoN ko chain hii nahiiN aafat kiye baGair
tum, aur maan jaao sharaarat kiye baGair
(ashva=coquetry, blandishment, playfulness)


ahl-e-nazar ko yaar dikhaanaa rah-e-vafaa
aye kaash! zikr-e-dozaKh-o-jannat ke baGair


ab dekh us kaa haal ki aataa na thaa qaraar
khud tere dil ko, jis pe inaayat kiye baGair


aye hamnashiiN muhaal hai naaseh kaa Taalnaa
yah, aur yahaaN se jaayeN nasiihat kiye baGair


tum kitne tund-khuu ho ki pahluu se aaj tak
ek baar bhii uThe na qayaamat kiye baGair

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kashmakash-e-dahar se aazaad kiyaa

vo kareN bhii to kin alfaaz meN teraa shikwa
jinko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa

itnaa maanuus huuN fitrat se kalii jab chaTkii
jhuk ke maiNne ye kahaa, ''mujhse se kuchh irshaad kiyaa?''

mujhko to hosh nahiiN, tum ko Khabar ho shaayad
log kahte haiN ki tumne mujhko barbaad kiyaa

qadam insaaN ka raah-e-dahar meN tharraa hii jaata hai

qadam insaaN ka raah-e-dahar meN tharraa hii jaata hai
chale kitnaa hii koii bach ke Thokar khaa hii jaataa hai

nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa, phir bhii
hujuum-e-kashmkash meN aadmii ghabraa hii jaataa hai

khilaaf-e-maslahat maiN bhi samajhta huN, magar vaaez
vo aate haiN to chehre pe taGaiyyur aa hii jaataa hai

havaaeN zor kitnaa hii lagaaeN aaNdhiyaaN ban kar
magar jo ghir ke aataa hai vo baadal chhaa hii jaataa hai

shikaayat kyuuN ise kahte ho ye fitrat hai insaaN kii
musiibat meN khayaal-e-aish-e-rafta aa hii jaataa hai

samajhtii haiN maal-e-gul meN kyaa zor-e-fitrat hai
sahar hote hii kaliyoN ko tabassum aa hii jaataa hai

arz-o-samaa ko saaGhar-o-paimaana kar diyaa

arz-o-samaa ko saaGhar-o-paimaana kar diyaa
rindoN ne kaaynaat ko maikhaana kar diyaa

aye husn! daad de ki tamanna-e-ishq ne
terii hayaa ko ashva-e-turkaana kar diyaa

qurbaaN tere ki ek nigah-e-iltfaat ne
dil ki jhijhak ko jurrat-e-rindaana kar diyaa

dunyaa ne har fasaana 'haqiiqat' banaa diyaa
hamne haqiqatoN ko bhi 'afsaana' kar diyaa

aavaaz do ki jins-e-do aalam ko Josh ne
qurbaan-e-yak tabasuum-e-janaana kar diyaa

ishq meN laa-javaab haiN ham loog

ishq meN laa-javaab haiN ham loog
maahtaab, aaftaab haiN ham loog

garche ahl-e-sharaab haiN ham loog
ye na samjho Kharaab haiN ham loog

shaam se aa gaye jo piine par
subah tak aaftaab haiN ham loog

jab milii aaNkh, hosh kho baiThe
kitne haazir-jawaab haiN ham loog

hamse puuchho Jigar ki sarmasti
mahram-e-Aa.njanaab haiN ham loog