Showing posts with label Umeedein. Show all posts
Showing posts with label Umeedein. Show all posts

khuda jaane mere nashib mein kya hai,

khuda jaane mere nashib mein kya hai,
kyun har kadam pe imtahan le raha hai,
aankho mein sapne hai,paas hoshla hai,
aur mujh garib mein kya hai,
kyun har dafa dil mera torta hai ,
kar ke tanha mehfilo mein chorta hai,
kisi ki tashvir hai ,kisi ki yaadien hai aur ish dil mein kya hai
kyun mere rakib se mohabbat ushe hai
aziz rakib ki sohbat ushe hai ,phan hai bewafaai ka ,dil torne ka hunar hai,
aur mere ush rakib mein kya hai.

kuchh tujh ko Khabar hai ham kyaa kyaa ai shorish-e-dauraa.N bhuul gaye

kuchh tujh ko Khabar hai ham kyaa kyaa ai shorish-e-dauraa.N bhuul gaye
vo zulf-e-pareshaa.N bhuul gaye vo diidaa-e-giriiyaa bhuul gaye

ai shauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaro.n me.n ko_ii suurat hii nahii.n
ai zauq-e-tasavvur kyaa kahiye ham suurat-e-jaanaa.N bhuul gaye

ab gul se nazar milatii hii nahii.n ab dil kii kalii khilatii hii nahii.n
ai fasl-e-bahaaraa.N ruKhasat ho ham lutf-e-bahaaraa.N bhuul gaye

sab ko to madaavaa kar Daalaa apanaa hii madaavaa kar na sake
sab ke girebaa.N sii Daale apanaa hii girebaa.N bhuul gaye

ye apanii vafaa kaa aalaam hai ab un kii jafaa ko kyaa kahiye
ek nashtar-e-zahar-e-aagaahii rakh kar nazdiik-e-rag-e-jaa.N bhuul gaye

terii ummiid teraa i.ntazaar jab se hai

terii ummiid teraa i.ntazaar jab se hai
na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai


kisii kaa dard ho karate hai.n tere naam raqam
gilaa hai jo bhii kisii se terii sabab se hai
  huaa hai jab se dil-e-naasabuur beqaabuu
kalaam tujhase nazar ko ba.Dii adab se hai [naasabuur=impatient]



agar sharar hai to bha.Dake, jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere rang-e-lab se hai
  kahaa.N gaye shab-e-furqat ke jaaganevaale
sitaaraa-e-sahar ham-kalaam kab se hai

aisa lagta hai zindagi tum ho

aisa lagta hai zindagi tum ho
     ajnabee kaise ajnabee tum ho

     ab koi aarzoo nahin baakee
     justjoo meri aakhri tum ho

     main zameen par ghana andhera hoon
     aasmaanoN ki chandni tum ho
 
     dostoN se wafa ki ummeedeN
     kis zamaane ke aadmi tum ho

Kaash Tum Aa Jao !!

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa Jao..
 Bahot Tanha Høon Mai Aaj, Kaash Tum Aa Jao..

Kabhi Khud Ko Etna Kamzor Na Hone Diya Maine;
 Par Aaj Bikhar Gaya Hoon, Kaash Tum Aa Jao..

Tum Se Milte Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe;
 Chaahiye Aaj Teri Baanho Ka Sahara, Kaash Tum Aa Jao..

Barson Se Jeeta Aaya Hoon Bin Tere Ae Jaan-E-Wafaa;
 Aaj Nahi Guzar Raha Ek Bhi Pal, Kaash Tum Aa Jao..
 Waqt Ki Raftaar Bhi Jaise Tham Si Gayi Hai;
 Tham Na Jaaye Meri Saans, Kaash Tum Aa Jao..

Kaash Tum Aa Jao !!
 

Tere aney ki jab khabar mehkey.

Tere aney ki jab khabar mehkey.
Teri khushbu se sara ghar mehky.

Shaam mehkey tere taswur se.
Shaam ke baad phir seher mehkey.
...

Raat bhar sochta raha tujh ko.
Zehen o dil mere raat bhar mehkey.

Yaad aye to dil munawar ho.
Deed ho jaye to nazar mehkey.

Wo ghari do ghari jahan bethy.
Wo zameen mehkey wo shajar mehkey.

Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge

Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge
Ab Hm Kisii Shakhs Kii Paravaah Na Karenge

Kuchh Log Ka_Ii Lafz Galat Bol Rahe Hain
Isalaah Magar Ham Bhii Ab Isalaah Na Karenge

Kam_Go_Ii Ke Ek Vasf-E-Himaaqat Hai Bahar To
Kam_Go_Ii Ko Apanaayenge Chahakaa Na Karenge

Ab Sahal Pasandii Ko Banaayenge Vatiiraa
Taa Der Kisii Baab Men Sochaa Na Karenge

Gussaa Bhii Hai Tahaziib-E-Ta’lluq Kaa Talabagaar
Ham Chhup Hain Bahare Baithe Hain Gussaa Na Karenge

Kal Raat Bahut Guur Kiyaa Hai So Ham Ai sanum
Tay Kar Ke Uthe Hain Ke Tamannaa Na Karenge
 

Umeed-e-seher khoojtay ho in barastay qatron mein..?

Umeed-e-seher khoojtay ho in barastay qatron mein..?
Ajab nahi k beh jao is darya ki rawani mein

Manzil tu la-hasil saraab hai magar,
Justuju k liay kuch safar aur mil jaay ga..

Mauje-eBedari tere lafzon ki mehek deti hai,
K waqt tu bohot guzara magar zindagi nahi.

Umeed



Aj Tak Qaim He Us K Lout Ane Ki Umeed.
Aj Tak Thehri He Zindagi Apni Jaga.

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun
MAin apney KHaab bhikharney ki baat kis sey karun

Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey
Abhi main Jaan sey Guzarney ki baatv kis sey karun

ABhi toh hijr ki tareekiyan hain dono tafar
Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun ?

Abhi toh ghammoon sey Nidhaal hain sabhi
Abi main tery Bicharneyki baat kis sey karun ?

Meri Judaii ki ghaam mein koi bhi nehi suunta
Tumharey Baad sulaghney ki baat kis sey karun ?

Kisey baataun k tujhy kahaan kahaan nehi dhunda
Nagar nagar mein bhatakney ki baat kis sey karun ?

TEri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai
Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun??!!!!!

main nay kaha k mere liye kuch dua karo

main nay kaha k mere liye kuch dua karo
us ne kaha dua pe na takya kia karo

main nay kaha k zahan pe rahta hai bojh sa
us ne kaha k chhup k kahin ro liya karo

main nay kaha k kamodahan bemaza se hain
us nay kaha k hafiz-o-ghalib parha karo

main nay kaha k dost nibhayengay mera sath?
us nay kaha k waqt pe ye tajraba karo

main nay kaha k asl ki mujh ko talash hai
us nay kaha k apna ta?aqub kia karo

main nay kaha k shahar main tash?heer hogayee
us nay kaha k apni hadon main raha karo

main nay kaha bahisht haqiqat hai ya majaaz??
us nay kaha k ghaur na itna kia karo

main nay kaha k mashwara dar bab-e-maykashi
us nay kaha k zaat-e-kashida pya karo

main nay kaha k khidmat-e-ahbab ka sila?
us nay kaha , ta?at-e-taba rasa karo

main nay kaha ? husool-e-nakukarye jahan?
us nay kaha k sohbat-e-bad se bucha karo!!!

Is Baar Dil Ne Tujh Say Na Milnay Ki Thani Hay

Is Baar Dil Ne Tujh Say Na Milnay Ki Thani Hay
Per Main Nay Kub Kisi Ki Koi Baat Maani Hay

Ik Subha Tere Sath Nikalna Hay Raat Say
Ik Shaam Tere Sath Kisi Din Manani Hay

Ik Bhaid Kholna Hay Mujhy Tere Ro-Ba-RoO
Ik Baat Hay Jo MaiN Nay Tujhi ko Batani Hay

Mujh Ko Bhi Taaray Torr Lanay Ka Hay JunOo'n
Main Nay Bhi Aasmaan Ki Buhat Khaak Chaani Hay

Us K Liye Bhi Shaher Basanaa Hay Ik Mujhy
Apnay Liye Bhi Ik Nai Duniya Banani HaY

Jo Kuch Main Likh Raha Hun, Woh RoDaad Hay Meri
Tum Perh Sako Tou Phir Ye Tumhari Kahani Hay

Kahta Hay Koi Aa, Issay Phir Say Likhain Saleem
Woh Daastaan-e-IshQ Buhat Hi Purani Hay

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hay

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hay
kab aatay ho??.....kab jatay ho??
kabhi kabhi aangan main laga jab......
imli ka yah pair hawa main hilta hay to.....,,
eento ki deewar pe parchayee ka cheenta parta hay....aur...
jazb ho jata hay jaisay sokhi mitti par....
koi pani k katray se phaink gaya ho......
dheery dheery angan main phir dhop sisakti rahti hay!
band kamray main......
kabhi kabhi jab diye ki lo hil jati hay to,
aik bara sa saya mujh ko
ghont ghont peenay lagta hay
aankhain mujh se door bhaith k
mujh ko takti rahti hain
kab aatay ho??......kab jatay ho???.......
din main kitni baar mujhy tum yaad aatay ho!

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah

raat jalatii hu_ii ik aisii chitaa hai jis par
terii yaade.n hai.n sulagate huye sa.ndal kii tarah

tuu ki dariyaa hai magar merii tarah pyaasaa hai
mai.n tere paas chalaa aa_uu.Ngaa baadal kii tarah

mai.n huu.N ik Khvaab magar jaagatii aa.Nkho.n kaa "Ameer"
aaj bhii log gavaa.N de na mujhe kal kii tarah

aahaT

intizaar...
har sitaare ke duruuKhshaa.N haath me.n
ha.Nsataa thaa sannaaTe kaa phuul
ek dam aahaT hu_ii
phuul kii ek ek pattii TuuT kar girane lagii
gir rahii hai.n pattiyaa.N...
aane vaale kii musal_sal aahaTe.n
der se mujh ko sunaa_ii de rahii hai.n is tarah
ab mere paas tak pahu.Nchane ke liye
'Bani' hai goyaa do qadam kaa faasalaa

Kis Tarhaan Sajaatay Ho

Kis Tarhaan Sajaatay Ho
Maslehat Ki Shaamon Main
Mehfilain Muhabat Ki
Aur Mohabatain Bhi Wo
Saal Bhar Mehak JinKi
Dil Ki Saari Galiyoon Main
Raqs Karti Phirti Hain

Kis Tarhaan Sajaatay Ho
Andhion Kay Mausam Main
Tum Deeyay Rafaqat Kay
TumJo Payaar Ki Dolat
Apnay Dil Kay Haatoon Say
KhushBoowon Ki Baaton Say
IsTarhaan Lutaatay Ho
JisTarhaan Koi Jugnoo
Shab Kay RaigZaaroon Par
Roshni Lutaata Hai
TumJo Habs Mausam Main
Ik Hawaa Ka Jhonka Ho
Kis Taraah Sajaatay Ho
Maslehat Ki Shaamoon Main
Mehfilain Muhabat Ki

Kuchh Humain Bhi Batlaao
Kuchh Humain Bhi Sikhlao
Hum To Apnay Sehraa Kay
Be-Nawaa Musaafir Hain
Hum Tumhaaray Jazboon Ki
Naik Si Fizaaoon Main
Phool Jaisay Geetoon Ki
Raqs Karti Khushboo Kay
Be-Qaraar Shaayar Hain

Farz karo hum jena chahain aur jenna baikar sa hoo

Farz karo hum jena chahain aur jenna baikar sa hoo
Farz karo ke maar jana bhi apnay liye dushwaar sa hoo

Farz karo ke us ki batain dil ko dukhanain wali hoon
Farz karo ke us ka lehja lakri ki talwaar sa hoo

Farz karo hum rootay rootay so jatay hoon sham dhalay
Farz karo ye roona dhoona aankhon ko darkaar sa hoo

Fraz karo us nay hum ko huns huns ker nashad kia
Farz karo hans hans ker milna us ka karoobar sa hoo

Farz karo ke baithay baithay hum ye soch rahay hoon KAIS
chahay aik shajar ho gher main lakin saya daar sa hoo

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya,

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya,
Uska Mujhse Alag Raasta Ho Gaya,

Wo Chala ThaaM Kar Haath Mera Magar,
Bich Raaste Mein Mujhse Juda Ho Gaya,

Koi Saya Nahi Tha Kadi Dhoop Mein,
Dil Pighalte Pighalte Fana Ho Gaya,

Maine Dekha Jise Maine Socha Jise,
Jisko Chaha Wohi Bewafa Ho Gaya...

Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,

Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat ka Hasil 0 Hisaal kuch Bhi Nahi,

Wo Hum se khafa thy to Jan Nikal Gayi thi Hamari,
Hum Unse khafa Hain to Unko Malal kuch Bhi Nahi,

Is Qadar Dukh Diya Hai Na Jane kis khata Par Hamen,
0r Hum Bhi Sabar karte Gaye kiya Sawal kuch Bhi Nahi,

Uski khushi Mein Hansne Wale khas Hain Ab Us k Liye,
Dukh Mein Us k Sath Hain Hum Or Hamari Misal kuch Bhi Nahi

Garmi-e-Shaoq-e-Nazaaraa kaa Asar To Dekho

Garmi-e-Shaoq-e-Nazaaraa kaa Asar To Dekho
Gul khile Jaate Hain Woh Saaya-e-Dar To Dekho,

Aise Naadaan To Na The Jaan Se Guzarne Waale
Naasiho, Rahabar-o-Raahguzar To Dekho,

... Woh To Woh Hain Tumhen Ho Jaayegi Ulfat Mujh Se
Ek Nazar Tum Meraa Mehboob-e-Nazar To Dekho,

Woh Jo Ab Chaak Garebaan Bhi Nahi karte Hain
Dekhne Waalo kabhi Un kaa Jigar To Dekho,

Daaman-e-Dard ko Gulazaar Banaa Rakhaa Hai
Aao Ek Din Dil-e-PurKhoon ka Hunar To Dekho,

Subah ki Tarah Chamakta Hai Shab-e-Gham ka Ufaq
"Faiz" Taabindgi-e-Deedaa-e-Tar To Dekho.