Skip to main content

Aansoo Mere Tham Jaein To Phir Shauq Se Jana

Aansoo Mere Tham Jaein To Phir Shauq Se Jana
Aise Mein Kahan Jao Ge Barsat Bohat Hai

Honton Ko Na Hilana Chup Chaap hi Tum Rehna
Aankhon Se Tum Ne Keh Di Wohi Baat Bohat Hai

Dil Thaam K Bethe Hein Kya Dekhen Kahan Jaein
Aaj Hum Ne Jis Ko Dekha Wo Shahkar Bohat Hai

Jo Mil Gaya Ganeemat Auqat Se Barh Kar Hai
Ab Kuch Nahin Tamanna Bus Sarkar Bohat Hai

Barg e Zard Ne Patto'n Se Wafa Ki Na Karein Ge
Wo Raah Ab Bhi Tak-ta Hai Talabgaar Bohat Hai

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng