Showing posts with label Wali Mohammed Wali. Show all posts
Showing posts with label Wali Mohammed Wali. Show all posts

Dil ko lagtii hai dilrubaa kii adaa,


Dil ko lagtii hai dilrubaa kii adaa,
jii meN bastii hai Khush-adaa kii adaa,

garche sab Khuub-ruu haiN Khuub vale,
qatl kartii hai Mirzaa ki adaa,

harf-e-bejaa hai gar boluuN,
dushman-e-hosh hai piyaa kii adaa,

naqsh-e-diivaar kyuN na ho aashiq,
hairat-afzaa hai be-vafaa kii adaa,

gul hu’e garq-e-aab-e-shabnam meN,
dekh us saahib-e-hayaa kii adaa,

ai “Wali” dard-e-sar kii daaruu hai,
manjh-kuuN us sandalii qabaa kii adaa.


Kuuchaa-e-yaar ‘ain Kaasii hai,


Kuuchaa-e-yaar ‘ain Kaasii hai,
jogii-e-dil vahaaN kaa baasii hai,

pii ke bairaag kii udaasii suuN,
dil pe mere sadaa udaasii hai,

zulf terii hai mauj Jamnaa kii,
til nazik uske jyuN sanaasii hai,

ye siyaah zulf tujh zanakhdaaN par,
naaginii jyuN kuNve pe pyaasii hai,

jis kii guftaar meN nahiiN hai mazaa,
suKhan uskaa ta’am-e-baasii hai,

ai “Wali” jo libaas tan pe rakhaa,
aashiqaaN ke nazik libaasii hai.

Dil kuuN gar martabaa ho darpan kaa,


Dil kuuN gar martabaa ho darpan kaa,
muft hai dekhnaa siriijan kaa,

ai zubaaN kar madad ki aaj sanam,
muntazir hai bayaan-e-roshan kaa,

hikmat-e-ishq Bu Ali suuN na puuchh,
nain vo qaanuuN shinaas is fan kaa,

aaiinaa tujh se ho ke ham-zaanuu,
Ghairat-afzaa hu’aa hai gulshan kaa,

amn meN tujh nigaah so haiN be-daar,
Khauf naiiN muflisoN ko rahzan kaa,

tuk “Wali” ki taraf nigaah karo,
subh suuN muntazir hai darshan kaa.

Yaad karna har gharhi us yar ka,


Yaad karna har gharhi us yar ka, 
Hai wazeefa mujh dil e bimar ka, 

Arzu e chashma e kausar nahi, 
Tishna lab hoo'n sharbat e didar ka, 

Aaqbat kya howega maloom nahi, 
Dil hua hai mubtila dildar ka, 

Kya kahe tareef dil hai benazir, 
Harf harf us makhzan e israr ka, 

Gar hua hai talib e aazadgi, 
Band mat ho subba o zunnar ka, 

Masnad e gul manzil e shabnam hui, 
Daikh rutba deeda e baidar ka, 

Ae "wali" ho na srijaan par nisar, 
Mudda'a hai chashm e go har bar ka. 

Us ko hasil kyo'n ke hoye jag may faragh e zindgi,


Us ko hasil kyo'n ke hoye jag may faragh e zindgi, 
Gardash e iflak hai jis ko'n ayag e zindgi, 

Ai azizan sair e gulshan hai gul e dagh e aalam, 
Sohabat e ahbab hai mani may bagh e zindgi,

Lab hai'n tere filhaqiqat chashma e aab e hayat, 
Khizr e Khat ne us so'n paya hai suragh e zindgi, 

Jab so'n dekha nain nazar bhar kakul e mushkin e yar, 
Tab so'n jio'n sambhle pareshan hai dimagh e zindgi, 

Asma'n meri nazar may kuba e tareek hai, 
Gar na daikhoo'n tujhko'n ae chashm o chiragh e zindgi, 
Lala e khuni'n kaffi'n ke haal so'n zahir hua, 
Bastgi hai khal so'n Khuba'n ke dagh e zindgi, 

Kyo'n na howe ae "Wali" roshan shab e qadar e hayat, 
Hai nigah e garam e gul rua'n chirag e zindgi. 

Kiya mujhe ishq ne zalim ko'n ab ahista ahista,


Kiya mujhe ishq ne zalim ko'n ab ahista ahista,
Ke aatish gul ko karti hai gulab ahista ahista, 

Wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish e gham ko'n,
Ke garmi dafa karta hai gulab ahista ahista, 

Ajab kuchh lutf rakhta hai shab e khilwat may gulroo so'n,
Khitab ahista ahista jawab ahista ahista, 

Mere dil ko'n kiya bekhud teri ankhiya'n ne akhir ko'n,
Ke jiyo'n behosh karti hai sharab ahista ahista, 

Hua tujh ishq so'n ai atishinru dil mera pani,
Ke jiyo'n galta hai atish so'n gulab ahista ahista, 

Adaa o naz so'n aata hai wo roshan jabee'n ghar so'n,
Ki jiyo'n mashriq se nikle aftab ahista ahista, 

"wali" mujh dil may aata hai khayal e yar e beparwah,
Ke jiyo'n ankhya'n may aata hai khwab ahista ahista. 

Jise ishq ka teer kaari lage,


Jise ishq ka teer kaari lage, 
Use zindgi kyu'n na bhari lage, 

Na chhore mohabbat dam e marg lage, 
Jise yar jani so yari lage, 

Na hoye use jag may hargiz qarar, 
Jise ishq ki beqrari lage, 

Har ek waqt mujh ashiq e pak ko'n, 
Pyare teri baat pyari lage, 

"wali" kon kahe tu agar ek bacha'n, 
Raqiba'n ke dil may katari lage.