Showing posts with label Abdul Basit. Show all posts
Showing posts with label Abdul Basit. Show all posts

Hamare shahr men rahta hai ajnabi ki tarah

Hamare shahr men rahta hai ajnabi ki tarah 
Jo khair kha hai sab ka kisi nabi ki tarah

Luta ke shahr se sabkuch wo jab watan aaya
Lipat k maN se wo rota raha sabi ki tarah

Wo bakamal tha likin tha wo ahl E zar !!!
Tabhi to wo fail hota raha Ghabi ki tarah

Lutata Shahr men kase wo apni hamdardi 
Har ek shakhs ko lagta tha ajnabi ki tarah

Jafa k baad na rakhna humse umeed !!!
K mai bhi aadmi yaro hoon tum sabhi ki tarah

Ilaahi duaa meN asar dijiye

Ilaahi duaa meN asar dijiye
Bhatakte musafir ko ghar dijiye

Jhuke na kabhi bhi jo zalim ke aage
HameN bhi khuda ya wo sar dijiye

Zamaane ko haajat hai ibn E Ali ki
Zamaane ko ab na shamar dijiye

Shujaaat meN Haider sa dil chahta hun
Adaalat ki khatir Umar dijiye

RahaiN misl shir O shakar mil ke bahum
Zamaane ko aisa bashar dijiye

Mukarrar khuda se ye kahta hai Basit
Hamari duaa meN asar dijiye

Rayees E shaher hai jallad logo

Rayees E shaher hai jallad logo
Yahan qatil phire aazad logo

Hamari sada lohi ke sabab hi 
Zamana ban gya saiyaad logo

Lahoo ki Naher jari ho rahi hai
Sipahi ban gye ferhad logo

Hukumat se shikayat hi abas hai
Wahi to hum sitam ejad logo

Mujhe ab tak yaqeeN aata nahi hai
hamara mulk hai aazad logo

Hum mangte jahez hain khairat ki tarah

Hum mangte jahez hain khairat ki tarah 
Toli bana k jate hain barat ki tarah

Larki jawan hote hi ab unke waldain
Ghar main hi rah raheN hain hawalat ki tarah

Muddat se mera name hai unki zuban per 
MilteN hai ab bhi pahli mulakat ki tarah

Mali ka yeh karam hai k her sal bagh main
katl O fasad deteN hain saughat ki tarah

Hum ko ukharteN hain k halki ho ye zamiN
Hum  ugh raheN hain jaise nabatat ki tarah

Basit nezam E naw mai yeh kaisi hai tirgi 
Raoushan tha shaher ab kharabat ki tarh