Skip to main content

Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai

Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai
Yani Saare Ishq ke Maare Ek se Hain !

Hijr ki Shab me Dekh to aake Mere Chand
Mere Aansu aur ye Taare Ek se Hain !

Darya Hoon Mai Bher Bhav ko kya janu
Mere Liye to Dono Kinare Ek se Hain !

Meri Kashti kis ne Duboyi kya Maloom
Sari Lehrien saare Dhaare Ek se Hain !

Kuch apne aur kuch Be-Gaane aur Mai khud
Meri Jaan k Dushman saare Ek se Hain !

Ab Batlao Hum kis se Fariyad Karien
Kaatil, Haakim, Munsif saare Ek se Hain !

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng