Showing posts with label Abdul Jaleel Ebad. Show all posts
Showing posts with label Abdul Jaleel Ebad. Show all posts

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai,

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai,
na jaane kiska isay intezaar rehta hai,

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray,
meray khayal ke rath par sawar rehta hai,

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay,
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai,

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai,
kinaray aab kohi sogwar rehta hai,

Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay,
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai,

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay,
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai,

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day,
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai.

Jo zindagi hai kabhi uskay khwab bhi likhna,

Jo zindagi hai kabhi uskay khwab bhi likhna,
ye khwab bantay hain kaisay azaab bhi likhna,

Likho jo taj ko suraaj zameen ko sehra,
to ansuon ko humaray shahaab bhi likhna,

Jo dhoop chaon ki manzer kashi kabhi karna,
ye aftaab hai isko sahaab bhi likhna,

Beyaan karo kabhi kaamat jo us qayamat ki,
badaan hai shakh to chehra gulaab bhi likhna,

Ye aarzuein hain dil ki ya hasratoon ka mazaar,
jo dil pay guzri hai us par kitaab bhi likhna,

Mairay gunahon ko likhna hee bhul jana tum,
jo naikh armaan hain unkay sawaab bhi likhna,

Bin kahe par lay jo meri aankh ki tahreer ko,

Bin kahe par lay jo meri aankh ki tahreer ko,
roshni mil jaye meray khwab ki tabeer ko,

Mairay veeranay mein aa jaye jo mera khush kharaam,
rhaang mil jaye meri be-rhaang si tasweer ko,

Haar kadaam par aik naye zindaan ka hain samna,
tor day koi to a kay halqa-e-zanjeer ko,

Urr na paya tha kay barish golion ki ho gayi,
kwahishay parwaz nay ye kya diya nakhjeer ko,

halqa-e-yaraan mein hai haar phool ki khushboo alaag,
rakhti hai pardes mein zinda dil-e-dilgeer ko.

Zindagi tere naam kardi hai,

Zindagi tere naam kardi hai,
ye khabaar humne aam kardi hai,

Modadatein kashmakash mein guzri hain,
be-kaali aab tamaam kardi hai,

Ho gaye hum fanaa mohabat mein,
khushboo aab ye dawaam kardi hai,

Raat ko cheer kar chamaakti jo,
taigh wo be-neyaam kardi hai,

Mera dushmaan hai na samaaj usne,
dushmani teray naam kardi hai.

Na to berukhi ka gilaa mujhe na hee chahaton ka sawal hai,

Na to berukhi ka gilaa mujhe na hee chahaton ka sawal hai,
mujhe aaj tak na samaaj sakah baas iska hee to malaal hai,

Ye mohabatein ye rafaqtein meri kayinaat ki saans hain,
diya nafraatton ki hawa may aab jo jalaah hai ye to mahaal hai,

Meri washaatein hi na kaam huein meri khalwatein hi na chup huein,
kisay kya khabar ye dewanapan meri khwahishon ka kamal hai,

Kabhi chaand neklay jo raat may to ye reh-guzaar say chamaak utay,
jo mein khush-namaa bhi kabhi lagoon to usi ka aks-e-jamaal hai,

Dil-e-dasht may jo chaali hawaah to wo layi gaihr kay ye ghaataah,
jo shaajaar tha kabsay khizaan asaar wohi bareshon mein nahaal hai.

Do hisson mein zaat meri takseem hue,

Do hisson mein zaat meri takseem hue,
tutay khwab to phir unki tafheem hue,

Jin kay kol-o-fail nahi tay ek jaisay,
hum pay wajeb unki bhi tazeem hue,

Dekhay baal-e-haat hain jinsay luthtay hain,
phir bhi aapni soch may kab tarmeem hue,

Hum bhi to taqseem hue hain khanon may,
isi liye ye darti maah do neem hue,

Humnay jiski qadaar na ki to uski phir,
waqt nay badli aankh to tab taqreem hue,

Khami hai bas aik humari haasti may,
tokhron say bhi is may na tanzeem hue,

Khushboo kitni baar humaray paas ayi
be-his tay hum iski na taqreem hue.

Jalti aankhon may kohi khwaab basaoon kaisay,

Jalti aankhon may kohi khwaab basaoon kaisay,
ye asaasa hain inhein raakh banaoon kaisay,

Rang-e-duniya bhi hai aur khwahish-e-fardos bhi hai,
sochna ye hai kay damaan ko bachaoon kaisay,

Asmaano ki taraf phir say mein urnaa chahoon,
paaon zanjeer say lekin mein churahoon kaisay,

Waqt zaleem hai kabhi lauth kay ata hee nahi,
aab mein beetay huey lamhaat ko laoon kaisay,

Bahr-e-washaat say meri naao uchaley koi,
khud ko girdaab say akhir mein bachaoon kaisay.

dil ye kihta hai zra shor matchaiya jaiye

dil ye kihta hai zra shor matchaiya jaiye 
duniya walon ko tmasha hi dikhaiya jaiye

sher ujra howa weeran para hai kab say
aag lay aoo koiy jashan mnaiya jaiye

eik lamhay main bdal jati hai zalim duniya
ghar kissi aur siyaray pay bnaiya jaiye