Showing posts with label Hafeez Banarasi. Show all posts
Showing posts with label Hafeez Banarasi. Show all posts

**Is hadse pe aankh se aa'nsoo nikal gaye**

Is hadse pe aankh se aa'nsoo nikal gaye
Kitne haseen log mashino'n me'n dhal gaye

Duniya use sunegi to bus muskurayegi
Jugnu pakarh raha thaa mere hath jal gaye

Mausam ke intazar me'n kuchh log hai'n kharhe
Kuchh log manzilo'n se aage nikal gaye

Ham ko bhi apne khu'n se nahana thaa sham tak
Suraj ke saath ham bhi safar par nikal gaye

Ek shakh-e-gul jhuki thee hamare bahut qareeb
Ham larh kharha gaye they magar phir sambhal gaye

Kaghaz ke chand  tukrho'n ki umeed me'n "Hafeez"
Le kar kaha'n kaha'n na ham apni ghazal gaye

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa choor ho gaye

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa choor ho gaye
Jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye

Maaloom ye huaa ke wo raste ka saath thaa
Manzil qareeb aayii to ham door ho gaye

Manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
Haalaat ki jafaaoN se majboor ho gaye

Kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
Kuchh wo bhii apne husn pe maGhroor ho gaye

ChaaraGaroN ki aisii inaayat huvii ''Hafeez''
Jo zakhm bhar chale the wo naasoor ho gaye

Rangi'n inhi'n dono'n se dunia ki kahani hai

Rangi'n inhi'n dono'n se dunia  ki kahani hai
Ek lafz mohabbat hai, ek lafz jawani hai,

duniaye sitam gar me'n insaf kaha'n yaro
qatil ko doaa dena yaa'n rasm purani hai,

Is khoon se dhoya hai har sakhsh ne haath apna
Yeh khoon ghariba'n hai ya muft ka paani hai,

Saaqi ke badlne se maikhana kaha'n badla
Saghar bhi purane hai'n sahba bhi purani hai,

keya tarfa tamasha hai'n Is daur ki tahrire'n
Aflaz ka jangal hai fuqdan-e- maani hai.


Ghar me'n hai keya jo chura le jayenge

Ghar me'n hai keya jo chura le jayenge,
Rahzan meri duaa le jayenge

Ik buzurg aaye hai'n maikhane me'n aaj,
Saare paimane khangale jayenge

Zindagi dam torhti hai jis jagah,
Hum waha'n aab-e-baqa le jayenge

aap daste naaz ko zahmat na de'n,
apna lasha hum utha le jayenge

Teztar jho'nke hawaye dard ke,
Her musarrat ko utha le jaye'nge

Maut ke roushan farishte ek din,
Zeest ki maili qoba le jayenge

Kaun hai ab qadr da'n un ka ''Hafeez'',
Hum kaha'n jins-e-wafa le jayenge.

Kahte huye hayat ke afsane so gaye,

Kahte huye hayat ke afsane so gaye,
Sab ko jaga ke aap ke diwane so gaye

Aa'nkhe'n khuli to jaag uthi subhe maikda,
Aa'nkhe'n huyee jo band to maikhane so gaye

Phoolo'n ki sej par bhi kabhi muztarib rahe,
kaa'nto'n pe bhi kabhi tere deewane so gaye