Skip to main content

Aatish-e-ishq ka shikaar huye

Aatish-e-ishq ka shikaar huye
 Ham pe kuch raaz aash'kaar huye

Kon chaahe nikaalna in ko
 Teer jo dil ke aar paar huye

Wo bhi ghabra rahe the milne se
 Be'hawas ham bhi baar baar huye

Aik ham hii se parda kya karna
 Taalib-e-deed to hazaar huye

JholiyaN kis tarha bhare koi
 Jab ke daaman hii taar taar huye

Wo jo kal tuhmateiN lagaate the
 Aaj ruswaa sar-e-bazaar huye

Mere aansoo ka ye asar hai Shahab
 Rait ke shehar laalaa'zaar huye

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng