Skip to main content

Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte,

Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte,
Kisi Tajir Ki Tarha Ishq Mein Sauda Nahi Karte.

Sawal Uthne Lage Hain Phir Maseehai Ke Bare Mein,
Agar Ho Charagar To Kyon Hume Achcha Nahi Karte.

Naqab e Rukh Ulat Do Aeene Se Yun Na Sharmao,
Ke Mehram Se Kabhi Mehram Kaheen Parda Nahi Karte.

Na Ho Mayoos Ae Zoq e Junoon Too Bo’ud e Manzil Se,
Mohabbat Karne Wale Rah Mein Thera Nahi Karte.

Duhai De Rha Hai Kyon Faqeeh e Shaher Azmat Ki,
Nasab Wale Kaheen Kya Ishq Farmaya Nahi Karte.

Misaal e Mahi e Be Aab Meri Jaan Nikal Jaati,
Are Itna Taghaaful Aap Yeh Achcha Nahi Karte.

Hua Jo So Hua Manzar Miyan Khak Bhi Dalo,
Gae Waqton Ki Baten Hain Unhe Socha Nahi Karte.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.