Showing posts with label Arzoo Lucknawi. Show all posts
Showing posts with label Arzoo Lucknawi. Show all posts

kis mast adā se aañkh laḌī matvālā banā lahrā ke girā

 


kis mast adā se aañkh laḌī matvālā banā lahrā ke girā 

aage to haiñ rāheñ aur kaThin dil pahle hī Thokar khā ke girā 


aage jo baḌhā tharrā.e qadam vo hañs jo diye sharmā ke girā 

behosh nahīñ hoshyār thā maiñ uThne kā sahārā pā ke girā 


dil shauq ke josh meñ dauḌ chalā aur josh to hotā hai andhā 

dar band paḌā thā qismat kā Takkar jo lagī teyorā ke girā 


jitnī bhī dil kī zarūrat thī bas utnī hī himmat-o-tāqat thī 

raste kī khakheḌeñ jhel gayā paas aate hī maiñ chakrā ke girā 


kyā ishq kī manzil bhī hai kaḌī bañdh bañdh kar himmat TuuT ga.ī 

jo ek qadam chal kar sambhlā vo do qadam aage jā ke girā 


sulgī huī hai ġham kī bhaTTī dil kyuuñ na pighal ke bane paanī 

jo qatra aañsū ho ke bahā lahrā ke chalā teyorā ke girā 


vo naala falak se Takrāyā vo 'ārzū' ik taarā TuuTā 

dushman kī taraf jo lapkā thā sho.ala vo mujhī par aa ke girā 

zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai

zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai 
Tapak pa.Date hai.n aa.Nsuu jab vafaa kaa naam aataa hai 

[naakaam=failed/unsuccessful] 

vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaaye.nge 
jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai 

akele karavaTe.n hai.n raat bhar bistar pe aur ham hai.n 
kahaa.N pahaluu ko Khaalii dekh kar aaraam aataa hai 

hasiino.n me.n basar kar dii javaanii 'Arzoo' ham ne 
lagaanaa dil kaa siikhe hai.n yahii ik kaam aataa hai 

kis ne bhiige hue baalo.n se ye jhaTakaa paanii

kis ne bhiige hue baalo.n se ye jhaTakaa paanii 
jhuum ke aa_ii ghaTaa TuuT ke barasaa paanii 

ro liyaa phuuT ke siine me.n jalan ab kyo.n hai 
aag pighalaa ke nikalaa hai ye jalataa paanii

ko_ii matavaalii ghaTa thii ke javaanii kii umang 
jo bahaa le gayaa barasaat kaa pahalaa paanii 

Tik-Tikii baa.Ndhe vo phirate hai.n mai.n is fikr me.n huu.N 
kahii.n khaane lage chakkar na ye geharaa paanii 

baat karane me.n vo un aa.Nkho.n se amrit Tapakaa 
'Arzoo' dekhate hii muu.Nh me.n bhar aayaa paanii 

avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii paravaanaa bhii

avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii paravaanaa bhii 
raat ke aaKhir hote hote Khatm thaa ye afasaanaa bhii 

qaid ko to.D ke nikalaa jab mai.n uThake baguule saath hue 
dasht-e-adam tak jangal jangal bhaag chalaa viiraanaa bhii 

haath se kis ne saaGar paTakaa mausam kii bekaifii par 
itanaa barasaa TuuT ke baadal Duub chalaa maiKhaanaa bhii 

Khuun hii kii shirkat vo kyo.n na ho shirkat chiiz hai jhaga.De kii 
apano.n se vo dekh rahaa huu.N jo na kare begaanaa bhii 

ek lagii ke do hai.n asar aur dono.n hasb-e-maraatib hai.n 
lau jo lagaaye shammaa kha.Dii hai raqs me.n hai paravaanaa bhii