Showing posts with label haali. Show all posts
Showing posts with label haali. Show all posts

dil se kheyal dost bhulaya na jaye ga

dil se kheyal dost bhulaya na jaye ga
seenay mein daagh hai ke mitaya na jaye ga

tum ko hazaar sharm sahi mujhe ko lakh zabt
ulfat woh raaz hai ke chupaya na jaye ga

mai tun-o zarf honsla ahl-e-bazm tang
saqi se jaam bhar ke pilaya na jaye ga

razi hein hum ke dost se ho dushmani magar
dushman ko hum se dosti banaya na jaye ga

bigdrin na baat baat pe kyun jante hain woh
hum woh nahin ke hum ko manaya na jaye ga

maqsood apna kuch na khula lakin is qadar
yahi woh dhondty hein ke paya na jaye ga

jhagroon mein ahl-e-dein ke na haali parhin bas aap
qissa hazoor se yeh chukaya na jaye ga