Showing posts with label Shahid Jameel. Show all posts
Showing posts with label Shahid Jameel. Show all posts

Ye kaisi rasm tere shah'r mei'n rawaa paaoo'n?

Ye kaisi rasm tere shah'r mei'n rawaa paaoo'n?
Jis ajnabee se miloo'n,uss-ko aashnaa paaoo'n !

Samajh-ke, soch-ke ek baar phir likhoo'n wohi naam,
Phir ek gunaah karoo'n , aur ek sazaa paaoo'n.

Mujhe khabar nahii'n kuchh faaslo'n ki saazish ki,
Usay qareeb se dekhoo'n toh jaane kyaa paaoo'n ?

Ghutann  ka mauj-e-sabaa se sulook laa- maaloom ?
Dareecha band rakhoo'n ya khulee hawaa paaoo'n.

Na-jaane kaun-si pehchaan inteha hai meri ?
Har aaine mei'n  koee shakhs doosraa paaoo'n !

Lubhaane lagte hai'n  'Shahid'  kuchh aashnaa sajde,
Labo'n se lipti-hui jab bhi ek duaa paaoo'n .

Koee manzar, na mausam saamne hai,

Koee manzar, na mausam saamne hai,
Magar wo hai, ke har-dam saamne hai.

Mahabbat sar-bulandi chaahti hai,
Phir ek aanchal ka parcham saamne hai,

Kahii'n khushboo,kahii'n jhankaar-si hai,
Wohi toh hai, jo paiham saamne hai !!

Meri aa'nkho'n se kab ojhal nahii'n hai?
Wo ek lamha, jo har-damm saamne hai.

Wo kya shai thi, khato'n mei'n bolti thi !
Ye kya shai hai, mujassam saamne hai !!

Dil ke aaseb ka dunya se gilaa hum ne kiya,

Dil ke aaseb ka dunya se gilaa hum ne kiya,
Shauq se khud ko giraftaar-e-balaa hum ne kiya !!

Aik hi khaab toh aa'nsoo ki tarah aa'nkh mei'n tha,
Khaak-e-dil ! tu hi bataa,uss-ka bhi kyaa hum ne kiya ?

Jab duaa di usay ,alfaaz sab apne bartay,
Iss bhalaaee mei'n ye thoda-sa buraa hum ne kiya.

Yaad-si cheez koee laa-ke shafaq per rakh-dee,
Shaam ko shaam se iss-tarh'a judaa hum ne kiya.

Kaash, ek ghum bhi ho aisa,ke kabhi jis se kahei'n !
Dil ki zanjeer se,  jaa , tujh-ko rihaa hum ne kiya .

Ghubaar aan'kho'n pe yu'n hi chhaa gaya hai,

Ghubaar aan'kho'n pe yu'n hi chhaa gaya hai,
Ke teri deeed ka pal aa gaya hai.

Charaagho'n ne kuchh itni roshni dee,
Sahar aayee, toh dil ghabraa gaya hai !!

Tere jalwo'n ne itni der kar dee,
Nazar ka aayina pathra gaya gai,


Tera qissa toh ab mash'hoor hoga, 
Meri ruswaai se takraa gaya hai.

Meri tan'haai mei'n ab kya nahii'n hai !
Teri yaado'n ka mausam aa gaya hai !!



Tumhari yaado'n ko ilzaam dete rahte hai'n,

Tumhari yaado'n ko ilzaam dete rahte hai'n, 
Qalam ke haath mei'n kucch kaam dete rahte hai'n.

Jigar ko daagh,nazar ko saraab,dil ko fareb,
Hum apne pyaaro'n ko in'aam dete rahte hai'n,

Jo kaam kar na sakay uss ke ru-ba-ru jaa kar, 
Ghazal ke she'r mei'n anjaam dete rahte hai'n.

Dayaar-e-dil ko khulaa chhorh dete hai'n aksar ,
Guzarne waalo'n ko ilzaam dete rahte hai'n.

Mitaatay rahte hai'n likh-likh ke tera ghum dil per,
Azeeyato'n ko koee kaam dete rahte hai'n.

Har tarah hum-hi tere saath huye jaate hai'n,

Har tarah hum-hi tere saath huye jaate hai'n,
Phir bhi hum-hi se sawaalat huye jaate hai'n.

Kis ko fursat hai yahaa'n, jo tujhe soche din-raat,
Ek hum hai'n ,tere din-raat huye jaate hai'n.

Ek toh  hum-ne hi kum kar diya milna-julna,
Aur kucch log bhi mohtaat huye jaate hai'n.

Hijr ne ab-ke baras tai kiye lamhe kya-kya,
Faasle bazm-e-mulaqaat huye jaate hai'n.

Aankh ko kya kisi manzer pe bharosa na raha?
Khaab sab nazr-e-kharabaat huye jaate hai'n.

Yeh kaisa rishta charagho’n ka teergi se tha,

Yeh kaisa rishta  charagho’n ka teergi se tha,
Ke har suraagh tera meri gumrahi se tha,

Yeh saare shahar mei’n kaisa ghubaar phaila hai,
Mai’n TooT TooT ke bikhra to khamashi se tha,

Woh aik lamha jo tohfe mei’n laaye they kal log,
Woh aik lamha bhi meri zindagi se tha,

Woh khushnaseeb they,ik doosre ke dushman they,
Mera muqaabla har morh par mujhi se tha,

Tumhari di hui ukta hato’n ka kya kahna,
Mai’n raat khul ke baghal geer zindagi se tha,

Meri ana se jo “Shahid” ubharne waala tha,
Dara dara mai’n kitna us aadmi se tha.

Nayee ek aur haqeeqat banaane waala hoo'n,

Nayee ek aur haqeeqat banaane waala hoo'n,
Mai'n usko khwaab samajh-kar bhulaane waala hoo'n.

Jo mera jhoot tha, mujhko kharaa samajhta thaa,
mai'n jiska sach hoo'n ,usay aazmaane waala hoo'n.

Anaa ki jung, khirad ka kha'ndar, junoo'n ke charaagh,
Mai'n iss mahaaz pe sab-kuchh lutaane waala hoo'n.

Kisi ki yaad bhi kitne hujoom rakhti hai !!
Akela ra'h ke mai'n saare zamaane waala hoo'n.

Kisi ke paas rahoo'n toh, kisi ki yaad aaye,
Mai'n abki-baar ye ghum bhi uthaane waala hoo'n,

Zard patto’n ke tasawwur se dari rahti hai,

Zard patto’n ke tasawwur se dari rahti hai,
Dil ke gulshan mei’n koi sabz pari rahti hai,

Mausame dard mei’n har perh bikhar jata hai,
Aik ummeed ki who shaakh hari rahti hai,

Waqt kid hoop tapish laakh ugaale dil per,
Aik gosha mei’n magar thorhi tari rahti hai,

Dil who pat-ther hai jo har maujk saha karta hai,
Ghum who naddi hai jo har waqt bhari rahti hai,

Fikre mahboob,ghume duniya,khayaale masjood,
Be khudi aise masael se bari rahti hai,

Toot Ta rahta hai kamre mei’n andhera “Shahid”,
Dhoop deewar ke us paar dhari rahti hai.

Qusoor ye hai, ke likhtaa hoon baar-baar wohi,

Qusoor ye hai, ke likhtaa hoon baar-baar wohi, 
Wo haal-e-dil hai mera, toh hazaar baar wohi. 

Wo zard khushboo yaheen per, kaheen khadi hogi,
Ye kis-ne chhed diya qissa-e-bahaar wohi?

Yahaan-ki mitti mere paaon kyun nahin kasti? 
Wohi dareechae-jaana'n,dayaar-e-yaar wohi.

Usay ke shahr-e-sadaa mein bhi hai sukoo'n kitnaa?
Yahaan toh ghuncha bhi chatke toh inteshaar wohi.

Haa’n hume 'Meer'ka deewan nahi’n hona hai,

Haa’n hume 'Meer'ka deewan nahi’n hona hai,
Aap-se mil-ke pareesha’n nahi’n hona hai.

Hum ke khud apne liye, apni anaa-se khelei’n,
Unki tafreeh-ka samaa’n nahi’n hona hai.

Khairiyat chaahne-walon mei’n teri yaad ka zikr?
Bharee mehfil mei’n bayaaba’n nahi’n hona hai.

Laakh ummeed khilaati rahe aankho’n mei’n gulaab,
Iss samundar-ko gulistaa’n nahi’n hona hai.

Nahii ke kishtiye wahshat mei'n baadbaan nahii

Nahii ke kishtiye wahshat mei'n baadbaan nahii
malal yeh hai ke sahil pe woh makaam nahii

khaii pe hoga koi chaand ham ko kya maaloom
hamara kamre kii khirkii mei'n aasmaan nahii

hawa ke rukh pe lawe'n muttahid nahii warna
abhi chirago'n mei'n aisa nahii ke jaan na hii

na iski aankh mei'n moti na mere khawb mei'n jheel
tamasha ab ke baras koii darmiyaa'n nahii

ise mai'n sonchoo'nga aur dil ko kuchh nahii hoga
yaqeen yoo'n hai ke ab ke koii gumnam nahii