Skip to main content

Kabhi Kissi ki zaulfon k Saye main Sona

Kabhi Kissi ki zaulfon k Saye main Sona
Bahar aao tum Apne Khayaloon se
Dekho Duniya main or bhi Ghum hain
Kahin Aansoo to Kahin Matum hain
Kahin Bhook, Kahin Aflas
Kahin Samaj k Thekedaroon k Situm hain
Kahin Zulm to Kahin Jung
Lar Rahe hain Aaj bhi Arab or Ajum
Be Libasi, Beghari hai
Kitni Lakriyaan Jahez k Naam Per Quraban hoti hain
Kahin Kamzoor Mulkoon k Khilaf Jung ka Ellan hote hain
Kahin Kissan k Masle
Kahin Dehqan K Masle
Kahin Janwar per Zulm
Kahin Insaan k Masle
Kabhi Darakthoon or Kahin Quran se Biha di Jati hain
Kahin Peda Hote hi daffna di Jati hain
Soo Masle hain is Duniya main
Kabhi Apne Kahayl se Nikal kar is Duniya main to aao
Tumhare Liye yeh Duniya Bayis e Ibbart Ban ho Jaye gi
Phir to Tum ko Mohabbat k naam se Nafrat ho jaye gi
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.