Showing posts with label Behzad Lucknawi. Show all posts
Showing posts with label Behzad Lucknawi. Show all posts

Ishq ka aijaz sajdon mein rakhta hoon main


Ishq ka aijaz sajdon mein rakhta hoon main
Naqsh-e-pa hota hai peshani jahan rakhta hoon main

Meri nazron ka tassaduq hai yeh husn-e-dilfareb
Apni nazron mein jamaal-e-do jahaan rakhta hoor main

Ek nasheman phoonk kar aaye barq kyun masroor hai
Ek tassavur mein bhi apne aashiyan rakhta hoon main

Ek muddat hamnavai charkh ke taaron ne ki
Ab to zarron ko shareek-e-dastaan rakhta hoon main

Fazl-egul aati hai aane de guzar jaane bhi de
Dast-e-vahshat sabr kar damaan kaha rakhta hoon main

Bezabaani par koi laillah koi meri daad de
Kuch nahi kehta aur munh mein zabaan rakhta hoon main

Mere zauq-e-bandagi par husn-e-tameeri nisar
Ek sajde mein banaye do jahan rakhta hoon main

Un ko but samjha tha un ko khuda samjha tha main


Un ko but samjha tha un ko khuda samjha tha main
Haan bata de ae jabeen-e-shauq kya saamjha tha main

Allah-Allah kya inayat kar gayi mizrab-e-ishq
Varna saaz-e-zindagi ko besada samjha tha main

Un se shikva kyon karun un se shikayat kyun karun
Khud badi mushkil se apna mudda samjha tha main

Meri halat dekhiye mera tadapna dekhiye
Aap ko is se gharz kya hai ke kya samjha tha main

Khul gaya yeh raaz un aankhon ke ashk-e-naaz se
Kaifiyat-e-husn ko gham se juda samjha tha main

Ae jabeen-e-shauq haan tujh ko badi zahmat hui
Aaj har zarrah ko inka naqsh-e-pa samjha tha main

Ek nazar par munhasir thi zeesht ki kal kainaat
Har nazar ko jaan jaan-e-mudda samjha tha main

Aap to har har qadam kar ho rahe hain jalwah gar
Aap ko hadad-e-nazar se mavra samjha tha main

Yeh fughaan, yeh shaor, yeh naale, yeh shikve the fazul
Kya bataati thi mohabbat aur kya samjha tha main

Us nigaah-e-naaz ne Behzad mujh ko kho diya
Jis nigaah-e-naaz ko apni dava samjha tha main

ab hai khushii khushii me.n na gham hai malal me.n


ab hai khushii khushii me.n na gham hai malal me.n
duniyaa se kho giyaa huu.n tumhare khayaal me.n

mujh ko na aapna hosh na duniyaa ka hosh hai
bhethaa huu.n must ho ke tumhare khayaal me.n

taaro.n se puuchh lo meri rodad-e-zi.ndagii
raato.n ko jaagtaa huu.n tumhare khayaal me.n

duniyaa ko ilmm kiyaa hai zamaa.ne ko kiyaa khabar
duniyaa bhulaa chukaa huu.n tumhare khayaal me.n

duniyaa ka.dhii hai mu.ntaazir-e-naghme-e-almm
Behzad chup kha.dhe hai.n kisi ke khayaal me.n