Skip to main content

Tumhari Udas aankhoon main jo Yeh Sawal dekha hai

Tumhari Udas aankhoon main jo Yeh Sawal dekha hai
Is main main ne apni Mohabbat ka Zawal dekha hai

Laho ban kar Dorti ho tum meri Ragoon main ab bhi
Tumhari Zaat main main ne Yeh bhi Kamal Dekha hai

Cheen Liya tum ne Mujh se Mera Fun e Shayari bhi
Tumhare Baad meri Shohorat ne Faqat Zawal Dekha hai

Ab g kar karna bhi Kya hai is Bedard Duniya main
Jahan Her Mor per Armaanoon ka Qital dekha hai

Kahin Yeh meri Nazaroon ka Dhoka to nahi hai
Mujhe Chorne ka jo Tumhare Chehre per Malal dekha hai

Kitni hum Ahangi hai ab Bhi Humare Khayalon main
Tark e Taluq main Tujhe bhi apna hum khayal dekha hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.