Skip to main content

Dard Muskuraatain Hain Ab Bhee Tere Aane Par…..

Dard Muskuraatain Hain Ab Bhee Tere Aane Par…..
Ham Gham Bhool Jaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….

Umar Kaat Di Laikin Bachpana Nahee Jata……………
Ham Diye Jalaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….

Neend Jaati Rehti Hai Teri Yaad Aaye Tou…….
Ham Khwaab Sajatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….

Shabnami SitaaRon Par Phool Khilnay Lagtay Hain…..
Ham Khushi Manatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….

Ab Bhee Teri Aahat Par Raat Muskuraati Hai………….
Sitaaray Timtamaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….

Tere Hijar Mein Ham Par Ik Azaab Taari Hai……….
Ham Chonk Chonk Jatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….

Aas Lout Aati Hai Ab Bhee TanhaayoN Mein…….
Ham Aanso CHupaatay Hain Ab Bhee Tere Aane Par….!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.