Skip to main content

Na mila karo sar-e-sham mujhe

Na mila karo sar-e-sham mujhe

Main tanha tanha he theek hoon

Mujhe chahton se dar lagta hai

Main nafraton mein he theek hoon

Mujhe raston mein chor do

Mujhe justajoo-e-manzil nahi

Na dikhao mujh ko rasta

Main bhatka hua he theek hoon

Mere dosto mujhe chor do

Na suljhao meri uljhanein

Mujhe adaavtein he pasand hain

Main dushmano mein he theek hoon

Mujhe khushi ki koi talab nahi

Mujhe apna gham bhi nawaz do

Mujhe ansoo peena pasand hain

Main ansuon mein he theek hoon

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.