Showing posts with label Hassan Rizvi. Show all posts
Showing posts with label Hassan Rizvi. Show all posts

duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa

duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
 yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa


daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa javaanii
 har chiiz miTane vaalii har chiiz aanii-jaanii
 ye sab Guruur ik din miTTii me.n jaa milegaa


aataa nahii.n palaTakar guzaraa huaa zamaanaa
 kyaa Khvaab kaa bharosaa kyaa maut kaa Thikaanaa
 ye zindagii ga.Nvaa kar kyaa faayedaa milegaa

tujhe Dhuu.nDhataa thaa mai.n chaar-suu

tujhe Dhuu.nDhataa thaa mai.n chaar-suu
 terii shaan jalle jalaal huu.N
 tuu milaa qariib-e-khoj luu.N
 terii shaan jalle jalaal huu.N


terii yaad me.n hai kalii-kalii
 hai chaman chaman me.n hubal alii
 tuu basaa hai phuul me.n huu-ba-huu
 terii shaan jalle jalaal huu.N


tere hukm se jo havaa chalii
 to chaTak ke bolii kalii-kalii
 hai kariim tuu rahiim tuu
 terii shaan jalle jalaal huu.N


teraa jalvaa dono.n jahaa.N me.n hai
 teraa nuur dono.n makaa.N me.n hai
 yahaa.N tuu hii vahaa.N tuu hii tuu
 terii shaan jalle jalaal huu.N

yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa

yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa
 jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa

[Gam-e-hijraa.N=sorrow of separation]
 [dast-e-duaa=hands raised in prayer]


ik ishq kaa Gam aafat aur us pe ye dil aafat
 yaa Gam na diyaa hotaa yaa dil na diyaa hotaa


Gairo.n se kahaa tum ne Gairo.n se sunaa tum ne
 kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa


ummiid to ba.ndh jaatii taskii.n to ho jaatii
 vaadaa na vafaa karate vaadaa to kiyaa hotaa


naakaam-e-tamannaa dil is soch me.n rahataa hai
 yuu.N hotaa to kyaa hotaa yuu.N hotaa to kyaa hotaa

ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N

ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N
meraa saath ko_ii na de sakaa merii hasarate.n hai.n dhuaa.N dhuaa.N


mai.n ta.Dap ta.Dap ke jiyaa to kyaa mere Khvaab mujh se bichha.D gaye
mai.n udaas ghar kii sadaa sahii mujhe de na ko_ii tasalliyaa.N


chalii aisii dard kii aa.Ndhiyaa.N mere dil kii bastii uja.D ga_ii
ye jo raakh-sii hai bujhii bujhii hai.n isii me.n merii nishaaniyaa.N


ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
mai.n vo phuul huu.N jo na khil sakaa merii zindagii me.n vafaa kahaa.N

Kabhi Kitabon Main Phool Rakhna Kabhi Darkhaton Pe Nam Likhna

Kabhi Kitabon Main Phool Rakhna Kabhi Darkhaton Pe Nam Likhna
 Hamen B He Yad Aaj Tak Wo Nazar Se Haraf-e-Salam Likhna


 Wo Chand Chehre Wo Behki Baten Sulagte Din The Mehakti Raten
 Wo Chhote Chhote Kaghazon Par Muhabaton K Payam Likhna


 Gulab Cheharon Se Dil Lagana Wo Chupke Chupke Nazar Milana
 Wo Aarzoun K Khawab Bun,na Wo Qisa Na Tamam Likhna


 Mere Nagar Ki Huseen Fazao Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao
 To Poochhna Ye Kahan Base Wo Kahan He Un Ka Qayam Likhna


 Khuli Fazaon Main Sans Lena Abas He Ab To Ghuttan He Aisi
 K Charon Janib Shajar Khare Hen Saleeb Soorat Tamam Likhna


 Gai Ruton Main Hasan Hamara Bas Ek Hee To Ye Mashghala Tha
 Kisi K Chehre Ko Subah Likhna Kisi Ki Zulf Ko Sham Likhna

ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udasiyan

ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udasiyan
mera sath koi na de saka meri hasraten hain dhuan dhuan
 
 
main tarap tarap k jiya to kya mere khwab mujh se bichar gaye
main udas ghar ki sada sahi mujhe de na koi taslliyan
 
 
chali aisi dard ki andhiyan mere dil ki basti ujar gai
ye jo rakh-si hai bujhi bujhi hain isi mein meri nishaniyan
 
 
ye fiza jo gard-o-gubar hai meri bekasi ka mazar hai
main wo phul hun jo na khil saka meri zindagi mein wafa kahan

teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halawaten

teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halawaten
na surur wo fasl-e-bahar mein na gulon mein latafaten
 
 
kahan rah gain teri nighaten wo saba kidhar ko nikal gai
teri ahaton ko taras gain mere jism-o-jan ki samaten
 
 
tere ang ang amin loch hai mere dil k soz-o-gadaz ka
mere khun-e-dil se raqam huin tere rang-o-bu ki hikayaten
 
 
meri chashm-e-gam dil-e-muztarib gam-e-arazu gam-e-justaju
liye phir raha hun nagar nagar kisi mehraban ki amanaten