Showing posts with label Faisal Azeem. Show all posts
Showing posts with label Faisal Azeem. Show all posts

bohat betab hai mujh mein koi naghma sarai ko

bohat betab hai mujh mein koi naghma sarai ko
muqaiyad roh ne tan se pukara hai rehai ko

suna hai pyas ka darya humhee serab kar de ga
chalo hum bhi chalein sahil pe qismat aazmai ko

badhata hoon main shakh-e-gul ki janib hath jab apna
koi chupke ke mehkata hai khud apni kalai ko

tumhari hi tarha tum se wafadari nibhain gay
zara tum dekhty jao hamari be wafai ko

dua ko hath uthtay hein to yeh ahsaas hota hai
kesi sajday hi hajat hi nahin hai kibriai ko

bohat kamzoor hein shahoo!tumhare takht ke paye
hatao mat jaga se tum fakiron ki chatai ko

khamoshi


main to chup tha
lakin meri aawazon per pehra tha
main to chup tha
lakin meri fikar ka saya gehra tha
main to chup tha
lakin mere dil ki dharkan doli thi
main to chup tha
lakin khamoshi khud mujhe mein boli thi
main to chup tha
lakin yeh sanatay chekha karty thay
main to chup tha
lakin sab is khamoshi se darty thay
main to chup tha
lakin dard sada deta tha seenay mein
main to chup tha
lakin mere andar hashar sa barpa tha
main to chup tha
lakin main iss khamoshi se darta tha
main to chup tha
lakin eik tahzeeb ke hathon marta tha
main to chup tha
lakin main iss chup se batein karta tha
main to chup hoon
lakin ab chup rahnay mein dushwari hai
main to chup hoon
 lakin ab in awazon ki bari hai