Skip to main content

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?.
Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?..
Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Hai ?.
Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai
Sari Batein Sachi Hein Magar
Yeh Bhi Sach Hai !
Mein Jo Us K Barey Mein
Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon
Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki
Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.