Skip to main content

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai,

Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein,
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai,

Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya,
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai,

Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan,
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai,

Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,
Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai,

Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta,
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai,

Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai,

Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho,
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai,

Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir,
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai…

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.