Skip to main content

pyar bhare is pal mein jhum lu,

pyar bhare is pal mein jhum lu,
milke tumse pal bhar mein,saari zindagi ji
lu,
har aahat mein mehsus karti hu tumhe,
is kadar chahne lagi hu tumhe,

...
u meri saanso mein bus gayi hai teri
khushbu,
kar na de teri mohabbat mujhe bekaabu,

baarish k bundo ki chuwan se machal si gayi
hu mai,
teri aagosh mein u simat si gayi hu mai,

tamanna hai k teri dhadkan ban jau,
u tere dilo dimag mein shaamil ho jau,

pyar ka ehsas dilaya hai tumne,
banke aarzu is dilko tarsaya hai tumne,

har duwa mein maangne lagi hu tumhe,
har ek chehre mein dhundne lagi hu tumhe,

amil jao tum mujhse is kadar,k ho jau mai
bekhabar,
bus thaam lo apni pannaho mein aur ban hi
jao ab mere hamsafar ...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.