Showing posts with label Taasir Siddiqui. Show all posts
Showing posts with label Taasir Siddiqui. Show all posts

Apna woh haal hai jo humse bataaya na gaya



Apna woh haal hai jo humse bataaya na gaya;
Chaah kar bhi hum se muskuraaya na gaya;

Hum us charaagh ki tarah jalte rahen shab-bhar,
Sehar hone par bhi jise bhujaaya na gaya;

Uss ke rooth ne ki har baar ek nayi adaa thi,
Hum jo  roothe phir hume manaaya na gaya;

Sekdon aehsaan dil par lekar jab hum chale,
Kaadhon pe phir yeh sar uthaaya na gaya;

Aakhon me jab ashk ka dariya hi na raha,
Dil me phir kisi umeed ko sajaaya na gaya;
*******

Ya rab mere ishq me woh jadoo sa samaaye;

Ya rab mere ishq me woh jadoo sa samaaye;
main use sochun aur woh saamne aa jaaye;

dard kuch is tarah badhe ke aehsaas-e-dard na rahe,
dil me hazaar zakhm ho aur lab muskuraaye;

jab bhi uthe nazar meri tere deedaar ke liye uthe,
jab bhi khule lab mere tera naam gungunaaye;

Aawara dard zamaane ke mere jism mein aake theren


Aawara dard zamaane ke mere jism mein aake theren;
tum dil mein utar ke dekho hai zakm kitne   gehren;

ek parat hasi ki thi so woh bhi gham mein jal gai,
ab chupaaye na chupte hain yeh aansuo ke cheren;

koi khushi mere dil ke darwaaze tak na pohanchi,
lagaa rakhen hain sakht bade udaasion ne pehren;

Raat ke khaab ki tarh tum bhula do mujhko

Raat ke khaab ki tarh tum bhula do mujhko;
apne haathon ki lakeeron se mita do mujhko:

main to pathar hun koi aehsaas na do mujhko;
kisi mandir me le ja kar saja do mujhko:

main hun tanhai-parast shaher nahi mera pata;
ho sake to viraane me jake sada do mujhko;

fiza  me hai jo nami mere ashkon se  hai ;
kahin aa na jaye sailaab ke hasa do mujhko;

woh jo na aaya tha zindagi me ab kya aaega;
kis baat ki hai deri chalo dafna do mujhko

jaate jaate woh apne jaane ka gham de gaye;

jaate jaate woh apne jaane ka gham de gaye;
sab bahaaren le gaye rone ka mausam de gaye;

dhundti hai  nigaahen par woh ab kahin nahin,
apne hone ka woh muje kaisa bharam de gaye;

mujhe mere papa ki  surat yaad aati hai,
woh to na rahe apni yaadon ka sitam de gaye;

ek ajeeb sa sannaata hai aaj kal  is ghar me,
ghar ki dar-o-deewar ko  udaasi peham de gaye;

badal gai hai ab taasir, taasir ki zindagi ki,
tum kya gaye aakhon ko manzar-e-maatam de gaye;
     

ajab tamashe dikhlaati tu bhi ae zindagi hai;


ajab tamashe dikhlaati tu bhi  ae zindagi hai;
kabhi gham-e-ruksati to kabhi aane ki khushi hai;

ye hi nizaam-e-duniya hai,ye hi uski khudaai hai,
gham-o-khushi ke patwaar se chali zist ki kashti hai;

puch gaye sab aansu har chasm  muskuraa  rahi rahi,
kaisi raat,kaisa andhera zameen par utari chandni hai;

har ek lab aaj chalka raha hai tabussum ki sharaab,
har dil aaj ban ke mahtaab luta raha  roshani hai;

kisi ke jaane ke baais ek kala baadal sa chaya tha,
kisi ke aane ki khabar ne di muasam ko dilkashi hai;

Zindagi jeene ka hoslaa kisi ka bhi kum-tar nahin hota;


Zindagi jeene ka hoslaa kisi ka bhi kum-tar nahin hota;
yeh baat aur hai sab ka yahan achha muqaddar nahin hota;

kahin dhoop, kahin saya,kahin gham kahin khushi hai,
is duniya me kahin bhi  ek jaisa  manzar nahin hota;

sab ko raah-e-zindagi me tanha hi chalna padta hai,
taa-umarr sath nibha sake koi aisa hum-safar nahin hota;

khushi ke chand lamhe jaise raat bhar ka tassawur hai,
afsaana-e-gham lekin khatam umarr-bhar nahin hota

Ek muddat se ek uljhan me hun,kisko tawajjo dun main;
bohot chaha samjhota zehan-o-dil me magar nahin hota

Ek din tum mera nishaan dhundoge;


Ek din tum mera nishaan dhundoge;
tum muje yahaan wahaan dhundoge;

main bohot dur kahin chala jaunga,
muje hokar tum pareshaan dhundoge;

sard aahen jab dil ko sataane lagegi,
meri baahon ki garmiyaan dhundoge;

tang   aakar    zamaane ki dosti se,
koi mere jaisa   insaan     dhundoge;

yeh husn jab jism se bewafai karega,
mere ghazolon me apna bayaan dhundo ge;

Nazam

Dil ko tumhare siva koi aarzu nahin hoti

Tum sitaara ho meri aasmaan-e-zindagi ka;
Hai roshan tum hi se charaagh meri hasti ka;
Agar samandar hai yeh zist to tum mera safina ho,
Tumhare bin yeh zindagi goya shraadh ka mahina ho,
Tum umeed ka woh chaand ho jo udaas raaton mein dil mein nikalta hai;
Tumhari chehal pehal se is na-muraad zindagi ka karobaar chalta hai;
Aa jao ke bhatke hue ko sahaara dedo;
Meri dubti hui kashti ko kinaara dedo;
Bina kiye tumse guftugu meri raat nahin hoti;
Aur na dekhun tumhe to din ki shuruaat nahin hoti;
Ab kisi bhi kaam mein mera man nahin lagta hai;
Tumhari hijarr mein dil har ghadi sulagta hai;
Aur kya kahun mere  behte hue ashk ki qasam;
Tumhare gham me ghar ki har shae ho gai hai nam;
Na noor hai na rangat chehre, par chaai bad-hawaasi hai;
Jaise jate hi bahaar ke  chaman par cha jati udaasi hai;
Thukrao na ab ke hasti kuch roz ki mehmaan hai,
Anjaam pe haaye zindagi ki dastaan hai;
Yun to aur bhi hai zamaane mein qaabil-e-dosti magar
Kaaghzi phoolon mein khushbu nahin hoti,
Sach kahun to is dil ko tumare siva kisi aur ki aarzu nahin hoti

Har hausale ki buniyaad sataaish hoti hai;

Har hausale ki buniyaad sataaish hoti hai;
yeh khwaaish sabse badi khwaaish hoti hai;

zindagi sirf umarr bitaane ka naam nahin,
yeh to har lamha ek aazmaaish hoti hai;

kitne ashk kisaano ke pii jata hai badal,
tab jakar barkaton ki baarish hoti hai;

sirf naazon se zindagi kohi pala nahin jata,
zindagi ke sath maut ki bhi parvarish hoti hai;

Azaad panchi ka kabhi bhi ek daal par baseraa nahin hota;


Azaad panchi ka kabhi bhi ek daal par baseraa nahin hota;
jo muskuraate rehte hain unki raah me andheraa nahin hota;

Raston ki mushkilein khud manzil ka pata bata deti hain,
jis musafir ke qadmon ko kabhi   bhi  thaknaa nahin hota;

kabhi gham,kabhi khushi hai humsafar raah-e-hayyat mein,
tanhai ek bharam hai, haqeeqat me koi tanhaa nahin hota;

jo pehlu me dil hai dar asal wohi maqaam-e-khuda hai,
mandir-masjid ke  deewaaron mein khuda nahin hota;

Ajab duniya ka dastoor hai,ajab yahaan ke rivaaj,
hasi me sab apne hain,gham me koi apnaa nahin hota;

Raat bhar soi to kabhi jagi hoi aankhein


رات بھر سویی تو کبھی جاگی ہوئی آنکھیں 
ریشمی خوابوں میں لپٹی ہوئی آنکھیں 

شب بھر یہ خواب کی مے پتی رہی
دیں کے ہنگاموں سے تھکی ہوئی آنکھیں 

کر کے آئ ہیں طویل خلاؤں کا سفر 
نیند کے پر لئے ادتی ہوئی آنکھیں 

حقیقت کے دھوپ سے چندیا رہی ہیں 
صحن خواب میں کھیلت ہوئی آنکھیں 

آہٹ سہر پا کے چونک  پدی  ہیں 
کرنوں کے لو سے پگلتی ہوئ

Taaza hai ab tak tumhari yaad mere zehan mein;


Taaza hai ab tak tumhari yaad mere zehan mein;
mehakte tum sada rahoge dil ke  chaman   mein;

Tumhara hi roop ubharta hai har disha har janib,
kabhi phool to kabhi chand ki tarah gagan mein; 

main tumhe dekh sakta hun, tumhe chu bhi sakta hun,
tum hasi me milti ho, to kabhi dard ki chuban mein;

Tum kahin bhi jao,tum  mujhse door na ho sakoge,
maine qaid kar rakha hai tumhe dil ke nasheman mein;

meri mushkilon me tum masihaa ban ke chali aati ho,
uljhano ko suljhati ho jab kabhi hota hun uljhan mein;

tum dur rehkar bhi dur nahin,paas na hokar bhi paas ho,
main dekh leta hun tumhe guzre hue waqt ke darpan mein;