Agar koi wada koi Ahed koi Iqrar nahi karta
To Yeh Maat sumjho k tum se pyar nahi karta
Meri Wafa k liye Chahie tum ko Oroon ki Gawahi
Kya khaon Mera Mehboob mera aitbaar nahi karta
Mere Maazi k Safhe Palat deta to hai wo lekin
Khud ko Haal main Dhalne k liye tayar nahi karta
Yun to Ginta hi rehta hai Mere Assase roz hi wo
Magar khud ko meri Dolat hi Shumaar nahi karta
Wajood ki Talab to pehle bhi na thi mujhe us k
Pighal jaon wo Lab o lehja bhi ikhtiyar nahi karta
Izhar Mohabbat ko Tal deta hai hamesha hi kal per
Haan magar Dil Torne main wo Udhar nahi karta
Main Palat kar nahi aaon ga wo aik Baar hi Sahi
Mujhe keh de k wo bhi meri tarah pyar nahi karta