Skip to main content

Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai

•-Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai-•
•-Hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai-•


•-Banaye thy tamasha zindagi ko es tarh-•
•-Ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai-•


•-Koi en andhero main meri dil ki shmma jala de-•
•-Hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai-•


•-Hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya-•
•-Sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai-•


•-Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya-•
•-Dil ko bhulane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai-•

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.