Skip to main content

Be’dard hain jo Dard kisi ka nhi rakhte.

Be’dard hain jo Dard kisi ka nhi rakhte.
Aisy b hain Ya’Rab k Tamanna nhi rakhte.
.
Ghairat yehi kehti hai na ho Ishq mei Shirkat.
Hum Hazrat e Dil ka b Sahara nhi rakhte.
.
Tum Zinda Hamen chhor k Ghar jao na Shab ko.
Murday ko b Insan k Tanha nhi rakhte.
.
Parwana O Bulbul ko to Sab kehty hain Aashiq.
Kya Qehar hai Tum Naam Hamara nhi rakhte.
.
Sach hai k Yunhi Doob gyin apni Wafaen.
Hum Tumpe kisi tarah ka Daawa nhi rakhte.
.
Be’Baak ho, Safaak ho Jo aaj ho Tum ho.
Banday ho magar Khof Khuda ka nhi rakhte.
.
Acha ho to Kya janay kare kya ye Burai.
Hum jaan k Dil ko kabhi acha nhi rakhte.
.
Jis Lutf o Karam pr Mujy Umeed bandhi kuch.
Ikhlaas Wo ghairon se b aisa nhi rakhtay.
.
Ay DaaGh ye kis kaam ki Masti O Jawani.
Tum Is mei Jo Andesha e Farda nhi rakhte.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.