Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Aah Poetry

Aah Poetry

Go ham se mile tum na to kuchh ham na mar gaye Kahne ko baat rah gayee aur din guzar gaye Author : QAAEM Dil-o-dimagh ko ro loo_nga aah kar loo_nga, tumhare ishq mai_n sab kuch tabah kar loo_nga. Author : Akhter Sheerani Deed -e-Laila ke lieye deeda-e-Majnu_n hai zaroor, Meri aankho_n se koi dekhe tamaasha tera. Author : Unknown Ik tiri deed chhin gai mujh Se, Warna duniya mei_n kya nahi_n baqi. Author : Faiz Maana ke teri deed ke qaabil nahi_n hoo_n mai_n, Tu mera shauq dekh, mera intezaar dekh. Author : Iqbal Aah jo dil se nikaali jaaegi, Kya samajhte ho ke khali jaaegi. Author : Akber Allahabadi Idhar se bhi siwa hai kuchh udhar ki majboori, Hum ne aah tau ki, un se aah bhi na hui. Author : Jigar Aah hoti mere lab par na yeh naala hota, Ek bhi tu ne jo armaan nikaala hota. Author : Rasa Aah ka kis ne asar dekha hai, Hum bhi ik apni hawa baandhte hai_n. Author : Ghalib Meri aah ka tum asar dekh lena, Woh aaeinge thaame...