Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2012

agar jo dimaag ki sunogi to haar jaogi

agar jo dimaag ki sunogi to haar jaogi humjaisa pyaar phir kahan paogi jaan daikhey ki baat to her koe kerta hai zindagi bananay wala kahan say laogi jo ek nazar daikhogi tum hamein dil say tu har taraf sirf hum he ko paogi yeqeen apni mohabbat per itna hai mujhey mayri chahat ko daikhogi to lout aogi mayri aankhoon k samander mein doob gae ager jo kahein jana bhi chahogi to na ja paogi

Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai,

Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai, Ulfat Nakaam Ho Jaane Se Darr Lagta Hai. Nahi Hai Mumkin Jeena Tere Bin, Tujh Bin Mar Jaane Se Darr Lagta Hai. Kise Hai Fikr Duniya Ki, Zamaane Ki, Tere Mukar Jaane Se Darr Lagta Hai. Nahi Koi Aarzu Zindagi Me Tere Siwa, Tujhse Bichhar Jaane Se Darr Lagta Hai. Tujh Bin Saansein Haraam, Dhadkan Gunaah, Tujh Bin Jeeye Jaane Se Darr Lagta Hai

Ankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga

Ankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga Itna Manoos Na Ho Kholoot-e-Ghum Se Apni Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhe Ga To Dar Jaye Ga Doobte Doobte Kashti Ko Uchala De Doon Mein Nahi Koi To Sahil Pe Utar Jaye Ga Zindagi Teri Atta Hai Tu ye Jane Wala Teri Bakhshish Teri Dhaliz Pe Dhar Jaye Ga Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka Faraz Zalim Ab K Bhi Na Roye Ga Tu Mar Jaye Ga

Humari nazar bohat kuch keh deti hai

Humari nazar bohat kuch keh deti hai Kabhi hamein nazaron se samjh kar to dekho Humse dosti ka rishta hai tumhara Kabhi hum se dil laga kar to dekho Har mushkil rah be asaan ho jaye gi bus Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho Hum tumhein zindagi mein har khushi den gye Bus ik baar humse pyaar kar ke to dekho

Aaye ho to thoDa baitho, ek raaz ki baat batate haiN

Aaye ho to thoDa baitho, ek raaz ki baat batate haiN tum samjho ya na samjho phir bhi tum ko samjhate haiN Jee kar ke naam kamana to aksar logon ko ata hai kuchh aise log bhi hote hain jo mar kar naam kamate haiN Pahle to pyar ki baateiN wo sharma sharma batlate they ab haale dil ka afsana batla kar ke sharmate haiN Pahle wo Ghusse maiN aksar ruk ruk karke chal padte they Ab mere khayaloN mein shayad chalte chalte ruk jate haiN Maalum nahiN dil ki dharkan seeney mein hai ya mahfil meiN lekin ham unke jaate hi beychain bohat ho jate haiN Koi dhundo us shaair ko jisne chand achchhe sher likhe likhte likhte Wasey aksar khud mein hi gum ho jate haiN

Tum ko chahte huwe bhi bhool jana acha laga

Tum ko chahte huwe bhi bhool jana acha laga Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga.... Tum ajnabi the mere liye magar apna jaan kar acha laga Pehchan to ik pal ki thi,magar sadiyon se jaan kar acha laga Khawabon mein yaadon mein tum the magar tum ko bhulana acha laga Meri rooh ka ik hissa the magar khud se juda karna acha laga Meri zindagi ka sarmaya the magar tum ko lutana acha laga Meray armanon ka sawan the mager tum ko barsana acha laga Meri khushiyon ka jahan the magar tum ko mitana acha laga Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga Sab khawashon ko mitana sirf tumhe pana acha laga Logon ke kehne mein aana aur sab kuch bhulana bolo kisse acha laga Yehi to rasm-e-duniya hai ise nibhana acha laga

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi

  Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi Agar zid meri pakki hai to aey Khuda asman ko bhi hila de gi Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakeen hai Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga de gi Na bhula sakon gi woh mohabbat na woh bewafai, jo tu ne ki Saza iss se barh ke kya de gi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua de gi Agar dam hai meri wafa-e-mohabbat mein to woh ik din, aye ga zaroor Jab meri yaad mein to tarpe ga par tab tujhe apni mohabbat na de gi

Itni muddat bad mile ho,kin sochoon mein gum phirte ho

Itni muddat bad mile ho,kin sochoon mein gum phirte ho itne khaaef kiyon rehte ho, har aahat say darr jate ho tez hawa nay poocha mujh say, rait pay kiya likhti rehti ho kaash koi hum say yeh bhi poochay, raat bhar tak kiyon jagti ho Kaisay kahoon main akaili hon tujh bin aay dost meray saaya ban kar sath meray, har pal tum to rehtay ho. Main dariyaa say darrti hon, tum dariyaa say bhi gehray ho koun se baat hai tum mein aisi, itnay achay kion lagtay ho. Meray jazboon say kabhi, kabhi meray khiyalon say ulajhtay ho kehnay ko rehtay ho dil mein, phir bhi kitney doore rehtay ho. Dharrakta hai dil mera bas abb teray hi naam par JAAN MERI! tum meray dil mein dharrkan ban kar rehtay ho. Hum say na poocho hijar kay qissay, apni kaho tum kaisay ho tum ziddi bahot ho, jaisay ho, phir bhi achay lagtay ho.

gairon ko dard sunaney ki zaroorat kya hai,

gairon ko dard sunaney ki zaroorat kya hai, hal-e-dil sub ko bataaney ki zaroorat kya hai,   na mita pao gay tum dil se mera naam kabhi, phir kitabon se mitaney ki zaroorat kya hai,   yun to umer kum hai muhabbat k liye, root ker waqt gawaney ki zaroorat kya hai,   jub muhabbat ka sila milta nahi logoun se, uney is kader toot k chahney ki zaroorat kya hai,

TU NEY AGIYAR SE MAHFIL KO SAJA RAKHA HAI

TU NEY AGIYAR SE MAHFIL KO SAJA RAKHA HAI MAIN KHUD SE B MAGAR KHUD KO BACHA RAKHA HAI   KYA HUWA JO TU MARE SATH NAHIN CHAL SAKTA HAMSAFAR YAAD K JHUKON KO BANA RAKHA HAI   UMAR BHAR SATH NA CHORIN GY SADA CHAHIN GY SIRF ILAFZ THY, ILAFZ MAIN KYA RAKHA HAI   BEWAJA MAIN NEY GIREBAN KO NAHIN CHAK KIYA SANG TU NEY B HATON MAIN UTHA RAKHA HAI   THI FAROZAN KABHI EK SHAMA_E_MUHABAT JIS MAIN MUJH KO DEWANA US DIL NE BANA RAKHA HAI   DAM-BAKHUD DEAKH RAHA HAI WOH MARE DAMAN KO MARE DAMAN MAIN TO BAS KHUWAB-E-WAFA RAKHA HAI

faslay asay bhi hon gay darmian ye kabhi socha na tha

faslay asay bhi hon gay darmian ye kabhi socha na tha samnay baitha tha mairay or wo maira na tha wo khusbo ki tarha phaila tha mairay chaar so main usay mehsos kar sakta tha chosakta na tha raat bhar pichli si aahay kaan main aati rahi jhaank kar daikha gali main koi bhi aya na tha aaj is nay dard bhi apnay alehda karliay aaj to main roya to mairay sath wo roya na tha ye sabhi veranian is k juda honay say thin aankh dhund lai hoi thi shar dhund laya na tha...

Lafz Adhoray Lagtay Hain Har Baat Adhori Lagti Hai

Lafz Adhoray Lagtay Hain Har Baat Adhori Lagti Hai Chand Bhi Nahi Nikla Ye Raat Adhori Lagti Hai   Baras Rahay Hain Badal Meray Ashiyanay Per Qahar Ki Tarhaan Abhi Tota Nahi Makaan Mera Ye Barsaat Adhori Lagti Hai   Kab Tak Sahara Den gi Umeedain Meri Sansoon Ko Milta Nahi Koi Maharbaan Ye Kainaat Adhori Lagti Hai   Milti Hain Khushiyaan Bhi Mujhay Lamhoon Ke Wasta Gar Gham Hi Moqadar Hain To Ye Soghaat Adhori Lagti Hai   Kis Se Gila Karoon Koun Sune ga Meri Daastan-E-Tanhaai Likha Tha Jis Per Mera Naseeb Wo Kitaab Adhori Lagti Hai

Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya

    Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya Nasir Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke Mele Mein Is Jahan Ke khone Nahi diya

Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se

Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se Jazbaton Ki Koi Numayish Nahin Ki Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se Sada Yaad RakhneyKi Sifarish Nahin Ki Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki

Agar hum kahein aur woh muskura dein

Agar hum kahein aur woh muskura dein Hum un ke liye zindagni luta dein Har ik mor par hum ghamun ko saza dein Chalo zindagi ko mohabat bana dein Agar khud ko bhule to kuch bhi na bhule Ke chahat mein un ke khuda ko bhula dein Kabhi ghum ke aandhi jinhe chu na paaye Wafaun ke hum woh nasheman bana dein Saza dein ke na dein bana ke mita dein Magar woh koi faisila to suna dein

Aaj rootha huwa ik dost bohot Yaad aaya

Aaj rootha huwa ik dost bohot Yaad aaya Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..... meri aankhon k her ik ashk pe ronay wala aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya...... jo merey dard ko seeney mein chupa leta tha aj jab dard huwa muj ko bohot yaad aaya..... jo meri aankh mein kajal ki tarha rehta tha aj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya..... jo mere dil k tha kareeb faqat us ko hi aj jab dil ney bulaya tu bohot yaad aaya..... merey jeevan ki her khusi mein wohi tha Sonu aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.....

tera aana meri dunya main aur chala jana

tera aana meri dunya main aur chala jana jese ik phool ka bahaar main murjhaa jana.... dil ki dunya main bus k zindagi ko mehkaana aur phir dour ja k deep sab bujhaa jana..... Khushki sey chal k samandar k beech le aana aur manjdhaar main yoon chor k chala jana....... douri-ey-tashnagi k ehad ki wafa k liye Lab-e-Furaat say piyaasa mujhe lota jana.... umer bher sath nibhanay ka ehad kar k ey Dost.. do kadam chal k hi daman ko yooon chhura jana........ tere firaaq main gar jaan chali jaey tu.. meri laash pe ik ashk tuu baha jaana..................

Jab Tak Main Zindah Hoon Mujhe Ji Bhar Sata Lo!

Jab Tak Main Zindah Hoon Mujhe Ji Bhar Sata Lo! Phir Kis Per Meray Baad Yah Ahsaan Karo Gay Dekho Na Satao Chup Rahnay Do Aye Dost! Mar Jain Gay Jis Din Tu Bohut Yaad Karo gay! Bhar Aay Ga Dil Tum Se Anson Na Rokain Gay! Ro Ro Kay Tasawur Main Humain Yaad Karo Gay Aajao Kay Nahi Lagta Ab Dil Kisi Sourat! Kia Is Dil Ko Kabhi Na Aabaad Karo Gay Aye Dost Tumhain Chaha Hai Tamannaon Se Barhkar! Khud Aik Rooz Is Baat Ka Iqrar Karo Gay

chhupaaye dil me.n Gamo.n kaa jahaan baiThe hai.n

chhupaaye dil me.n Gamo.n kaa jahaan baiThe hai.n tumhaarii bazm me.n ham bezabaan baiThe hai.n ye aur baat ki manzil pe ham pahu.Nch na sake magar ye kam hai ki raaho.n ko chhaan baiThe hai.n fuGaa.N hai dard hai soz-o-firaaq-o-daaG-e-alam abhii to ghar me.n bahut meharabaan baiThe hai.n ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii luTaa ke ishq me.n naam-o-nishaan baiThe hai.n vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai jise shariat-e-ehasaas maan baiThe hai.n hai maikado.n kii bahaaro.n se dostii 'Sagar' baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baiThe hai.n

juda jab ho jaoun to mari yaad main roya mat karna

juda jab ho jaoun to mari yaad main roya mat karna har waqat k jagna oor dair say soya mat karna younhi sotay main agar zikar ho jaye mara khawab palkoon pay maray piroya mat karna ho dil betab jab mujeh say milnay ko piyar ki is judae main khud ko behal mat karna hamain to har haal main jeena hay younhi tanha tum apni zindagi banana hargiz mara intizar mat karna

Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se

"~*~Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,~*~ ~*~Pyaar Chupta Nahin Chupane Se~*~ ~*~Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,~*~ ~*~Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.~*~ ~*~Pyar Dil Mein Hai To Lao Zabaan Pe,~*~ ~*~Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.~*~ ~*~Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,~*~ ~*~Paa K Phir Se Tumhein Ganwane Se.~*~ ~*~Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,~*~ ~*~Mil Liye Apne Ek Deewane Se.~*~ ~*~Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,~*~ ~*~Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.~*~ ~*~Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,~*~ ~*~Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.~*~ ~*~Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,~*~ ~*~Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.~*~

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...

    mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai... dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai... aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan... kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai... dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila... shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai... phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein... phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai... campus ki nehar per hai tere haath haath mein... mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai... har aik kali ne orh liya matami libaas... har phool per malaal hai aur chaand raat hai... meri to por por mein khush si bas gayi... us per tera khayal hai aur chaand raat hai... chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang... har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai...

khaab ki tarha bikhar jaane ko jee chahta hai

khaab ki tarha bikhar jaane ko jee chahta hai aisi tanhai k marr jaane ko jee chahta hai ghar ki wehshat se larazta hoon magar jaane kyun shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai doob jaon to koi mauj nishan tak na batae aisi naddi mein uter jaane ko jee chahta hai kabhi mil jaye to raste ki thakan jaag pare aisi manzil se guzar jaane ko jee chahta hai wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bohat ussi paiman se muker jaane ko jee chahta hai

aye mohabbat teray anjaam pay rona aaya

aye mohabbat teray anjaam pay rona aaya, janay kyun tayray naam pay rona aaya, yoon tou her shaam umeedon main guzar jaati thii, ajj kuch baat hay jo sham pay rona aaya, kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunya ka gila, marzi-yeh ishq main her kaam pay rona aaya, jab hua zikar zamanay main mohabbat ka faysal mujh ko apnay dil-e-naqam pay rona aaya

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya Kaanton se bhar dete hain log daaman Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya

Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhe

Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhe Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhe Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhe Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhe Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhe Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhe Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhe Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar Saaye Ki Justaju Mein Laga Dijiyey Mujhe Yon To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka Likin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhe

Woh anna parast sahi uss ke baaton mein iqrar bhi tha

Woh anna parast sahi uss ke baaton mein iqrar bhi tha Uss ke chubte huwe lahje mein chupa pyar bhi tha Woh Mujhe likta tha muntzir na rehna lekin Uss ke tehreer mein saadiyon ka intizar bhi tha Woh kehta hai ke mat rootho ke manana nahi atta Mere naragi pe lekin woh beqarar bhi tha Woh shayad phir na likta usay apni khabar lekin Dosti ka bharam rakhna tha,kuch dil beikhtiyar bhi tha Shayad yehi uss ka andaz-e-mohabbat ho faysal Woh Mera humdam bhi tha aur sitam shiyar bhi tha

Tum ney to keh diya mohabbat nahi mili

Tum ney to keh diya mohabbat nahi mili Mujh ko to yeh bhi kehney ki mohlat mahi mili Neendon key dais jaatey koi khawab dekhtey Lekin diya jalane sey fursat nahi mili Tujh ko to khair shehar key logon ka khouf tha Our mujh ko apney ghar sey ijazat nahi mili Bezar yoon huyey key terey ehad main hamain Sub kuch mila sakoon ki dolat nahi mili

Hafaa na hoo hum chaley jatay hain

Hafaa na hoo hum chaley jatay hain Sadaa khush rahoo hum chaley jatay hain Hum DIL ko thaam ker chaley jatay hain Bool jaoon tumein yeh mumkin nahin Booloon kessey bataoo hum chaley jatay hain Kiya hataa hoi hum say yeh to bataoo Juram sabat keroo hum chaley jatay hain DILWALE ka DIL howa hai tukray tukray Tukray utha loo hum chaley jatay hain Hafaa na hoo // hum chaley jatay hain

pahla sa haal pahli si wahshat nahe rahi

pahla sa haal pahli si wahshat nahe rahi shayad kay teray hijr ki adat nahe rahi rangon main ik rung teri sadgi ka rung aisi hawa chali kay won rangat nahe rahi rahon main ik raah woh ghar lotnay ki raah thahray kisi jaga par woh tabiat nahe rahi naamoo.n main ik naam sawal-e-ashna ka naam ab dil pay aisi koi ibarat nahe rahi ratoon main ik raat meray ghar ki chand raat angun ko meray us raat ki zarorat nahe rahi zakhmo.n main ik zakham mata-e-hunar ka zakham ab koi arz-o-jarahut nahe rahi sannata bolta hai sada mut laga faysal awaz tu rah gai hai sama`at nahe rahi !

tum door ho kay be meray pass rehtay hoo

tum door ho kay be meray pass rehtay hoo meray dil mey bastay ho meray saath rehtay hoo shab-e-tanhi ke ik ik gharee phool bantee hey khushbu ban kay tum mera angaan mehkatay hoo tumare yaad ke hidatt say jab jalta hey dil mera tab tum payar ka sawan ban ky baras jatay hoo jab be kabi woh surmaee ankhyn uthtee haan mera dil machalta hey aur tum sansay ban jatay hoo shab-e-hijraan may chamaktay meh-o-anjum sab mandd pertay haan janaa jab tum samnay atay hoo tumaray sard rawaye pey haan jalta hey jee mera kiun khud be tarapty ho aur mujko be tarpatay hoo

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata Woh Ek Hi Chera Toh Nahi Saare Jahan Mein Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha Jate Hain Jidhar Sab Main Udhar Kyon Nahi Jata Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata

Tum jo pal bher ko tehar jayoo, to ye lamhe bhi

Tum jo pal bher ko tehar jayoo, to ye lamhe bhi Aney wale kayi lamhoo ki amanat ho jaye Tum jo tehar jayoo tou … ye raat , … ye mehtaab Ye sabza ye gulab or hum dono k khuwab , Sab k sab aesay mubhim ho k haqiqat ho jaye …. Tum tehr jayoo k unwan ki tafseer ho Tum … Tum se talqi e oqatt ka mousam badley, Raat to kiya badle g , haalat to kiya badley gein Tum jo tehr jayoo to meri Zaat ka mousam badley … Meharbaa ho k na tehroo to , phir u tehroo , Jesay pal bher koi khuwab e tamana tehrey … Jesay darwesh madha nosh k piyaley main kabhi , … aik do pal k liye talqe duniya there .. Tehr jaoo k madarat k maey khaney main .. Chaltey chaltey aik adh suboo ho jaye Iss se pehle k koi lamha e ayinda ka teer , Iss terha aye k pewasta e guloo ho jaye

main Khayaal huuN kisii aur kaa, mujhe sochataa koii aur hai

main Khayaal huuN kisii aur kaa, mujhe sochataa koii aur hai sar-e-aaiinaa meraa aks hai, pas-e-aaiinaa koii aur hai main kisii ke dast-e-talab me.n huuN, to kisii ke harf-e-duaa m.n huuN main nasiib huuN kisii aur kaa, mujhe maaN gataa koii aur hai kabhii lauT aaye.N to na puuchhanaa, sirf dekhanaa ba.De Gaur se jinhen raaste men Khabar huii ki ye raastaa koii aur hai ajab aitabaar-ba-aitabaarii ke daramiyaa.N hai zindagii main kariib huu.N kisii aur ke, mujhe jaanataa koii aur hai vahii munsifon kii rivaayaten, vahii faisalon kii ibaaraten meraa jurm to koii aur thaa, par merii sazaa koii aur hai terii roshanii merii Khaddo-Khaal se muKhtalif to nahiin magar tuu qariib aa tujhe dekh luuN, tuu vahii hai yaa koii aur hai Merii zindagii kisii aur kii, mere naam kaa koii aur hai merii zindagii kisii aur kii, mere naam kaa koii aur hai mera aks hai sar-e-aaiinaa, pase aaiinaa koii aur hai merii dha.Dakano.n me.n hai chaap sii, ye judaaii bhii hai milaap sii mujhe kyaa pataa, mere dil

Ab ke saal kuch aisa karna

Ab ke saal kuch aisa karna apney pichlay 12 mah ke dukh sukh ka andaza karna bisri yaadein taza karna Saadah sa ik kagaz lé kar bhooley bisrey pal likh lena apney saarey kal likh lena Sarey dost ikhattey karna sari subhain hazir rakhna sari shaamain paas bulana aur ellawah in ke dekho sarey mousam dehaan mein rakhna ik ik yaad gumaan mein rakhna phir mohtaat qayaas lagana gar to khushian barh jati hain to phir tum ko meri taraf se aney wala ~SAAL MUBARAK~ aur agar ghum barh jain to mut bekaar takalluf karna dekho phir tum aisa karna "meri khushian tum le lena mujh ko apney ghum de dena

Jab agley saal yeh waqt aa raha ho ga

Jab agley saal yeh waqt aa raha ho ga, Yeh kon janta hai kon kis jaga ho ga, Tu mere saamney betha hai aur mein sochta hoon, Ke atey lamhon mein jeena bhi ek sazaa ho ga, Yehi damaktey huye pal dhuwan dhuwan hon ge, Yehi chamakta hua din bhujha bhujha ho ga, Lahoo rulaey ga woh dhoop chaon ka manzar, Nazar uthaoon ga jis simat jhat pata ho ga, Yehi jaga jahan aaj mill ke bethey hain, Isi jaga par khuda jane kal kiya ho ga, Bicharney walley tujhe dekh ker sochta hoon, Tu phir milley ga to kitna badal gaya ho ga

Sirf Tum...

Sirf Tum... Meri ankhoon mai kia Meri baatoon mai kia Meri sochoon mai kia Meri raatoon mai kia Sirf Tum.....Sirf Tum Meray Hasnay mai kia Meray ronay mai kia Meray Jugnay mai kia Meray sonay mai kia Sirf Tum.....Sirf Tum Mai bolo tu kia chup raho bhi tu kia dekho tu kia dekhna chaho tu kia Sirf Tum.....Sirf Tum Kehna Chaho tu kia Keh na Pao tu Kia Kuch Nahi keh k bhi keh jao tu kia Sirf Tum.....Sirf Tum khush ho jao tu kia gumgusar tu kia maan jao tu kia mai manao tu kia Sirf Tum.....Sirf Tum Rotho tu kia sataoo tu kia rula kar phir hasao tu kia Sirf Tum.....Sirf Tum pass aao tu kia dour jao tu kia dour ja kar phir yaad aaon tu kia Sirf Tum.....Sirf Tum ghum batao tu kia ghum chupao tu kia na bata kar bhi sub kuch batao tu kia Sirf Tum.....Sirf Tum khusiyan doo tu kia aik hasi mangoo tu kia dil ko bhelao tu kia kaam aao tu kia Sirf Tum.....Sirf Tum teray beghair zindagi socho tu kia tujhy sath rkhna chaho tu kia tujh say bicharna na chaho tu kia tujhay har pal paas paon tu kia tujhay

Koi kehta hai pagal muj Ko

Koi kehta hai pagal muj Ko To Soch Mein mai par jata hoo K q kar pagal kehlaya Kya pagal pan hai dikhlaya Jab apnay aap se poocha to Kuch batein milin jin se shayad Mein pagal pagal dikhta hoon Kuch qasmein thin jo yaad rakhin Kuch wadon ko abaad rakha K kahin na ye gum ho jaein Kuch waday thay kiye ham ne jo Un pe qaim rehne k liye Ik koshsih hamesha jaari hai Dar hai k gar aisa na kiya Kamzor kahin na par jaein Kya isko kehtay ho pagal? Gar aisa hi hai to sun lo Mujay fakhar hai k mein pagal hoon Mujay pyar hai is pagal pan se Mein pagal rehna chahta hoon! Mein pagal rehna chahta hoon! Mein pagal rehna chahta hoon!

aye pagli hawa

aye pagli hawa suno.....! jab kal soraj ki pahli kiran.. kay sang us gali main banay.. chotay say ghar kay angan main utro.. tu maiz par jhukay us shakhs.. kay kaan main chupkay say kahna.. kay lout ao.. ik diwani muntazair hai.. jo ik undekhay safar par rawaan hai.. ik manzil panay ki justusjo main.. raastay bhi sath nahin detay.. manzil bhi rastoon say nibah kiye hoye hai.. ik sadiyion ki.. musafat kay baad.. ab wo tahknay lagi hai.. aye machalti hawa suno.. us say kahna.. ab lout ao kay ik diwani muntazir hai..  .. suno.....! jab kal soraj ki pahli kiran.. kay sang us gali main banay.. chotay say ghar kay angan main utro.. tu maiz par jhukay us shakhs.. kay kaan main chupkay say kahna.. kay lout ao.. ik diwani muntazair hai.. jo ik undekhay safar par rawaan hai.. ik manzil panay ki justusjo main.. raastay bhi sath nahin detay.. manzil bhi rastoon say nibah kiye hoye hai.. ik sadiyion ki.. musafat kay baad.. ab wo tahknay lagi hai.. aye machalti hawa suno.. us say kahna.. ab lout ao

tere qariib rahuu.N yaa ki duur jaa_uu.N mai.n

tere qariib rahuu.N yaa ki duur jaa_uu.N mai.n hai dil kaa ek hii aalam tujhii ko chaahuu.N mai.n mai.n jaanataa huu.N vo rakhataa hai chaahate.n kitanii magar ye baat use kis tarah bataa_uu.N mai.n jo chup rahaa to samajhegaa bad_gumaa.N mujhe buraa bhalaa hii sahii kuchh to bol aa_uu.N mai.n phir is ke baad ta'alluq me.n faasale ho.nge mujhe sa.Nbhaal ke rakhanaa bichha.D na jaa_uu.N mai.n muhabbato.n kii parakh kaa yahii to raastaa hai terii talaash me.n nikaluu.N tujhe na paa_uu.n mai.n

**USS NEY KAHA**

**USS NEY KAHA** Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai... MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin Us ney kaha k kon tumhein hai buhat aziz ? MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyaar hai Us ney kaha Kon sa Tofah tumhein main doon MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz... Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai...... Us ney kaha senkron gham zindagi main hain Main ney kaha gham nahin, jab ghamguzaar saath hai Us ney kaha saath kahan tak nibhaoo gi...??? Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai...... Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah Main ney kaha, naam mera aetbaar hai....!!!

Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Hai

Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Hai Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaysi Hai Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Hai Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan Kaysi Hai Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Thakan Kaysi Hai Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaysi Hai Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras Aata hai Ussay Dekho Too Muhabbat Main Magan Kaysi Hai

use anjanay raaston se guzar janay ki khawahish thi

use anjanay raaston se guzar janay ki khawahish thi Muhabbat mein amar honay ki Mar janay ki khawahish thi Woh kehta tha keh jeewan teergi hai Or hamain is teergi mein Rang bharnay hain Roshni k Yeh ham ko mukhtasir se Chand lamhay jo qismat se mayassar hain Yeh lamhay ham donon ko baham Muhabbat se abad karnay hain Kisi ko daikhna hai or Kisi se baat karni hai Jahan yeh din guzar jayen Wahin pe raat karni hai Woh kehta tha Muhabbat ka koi mausam nahin hota Yeh har mausam ka jazbah hai Kabhi bhi kam nahin hota Adhoori si muhabbat hai Hamain takmeel karni hai Mauhabbat ko nayi dhab se basar karnay ki khawahish thi use shab bhar jagati hai Na janay konsi chahat use har pal rulati hai Shanasa tha....magar Har aik se anjan rehta tha Bohat abad tha...lekin Sada weeran rehta tha use har shakhs ko Hairan kar janay ki khawahish thi Muhabbat mein amar honay ki ..... Mar janay ki khawahish thi

Kaise bataon main tumhain..

Kaise bataon main tumhain.. Mere liye tum koun ho Yaadon main tum, khawabo main tum Saanso main tum, aanhoon main tum Mere liye hansana bhi tum, mere liye rona bhi tum Mere liye pana bhi tum,mere liye khona bhi tum Tum subah main tum shaam main Tum sooch main, tum ho mere har kaam main Tum din main, tum raat main Tum ho meri har baat main Kaise bataoon main tumhain, mere liye koun ho Yeh jo tera roop hai, yeh zindagi ka dhoop hai Chandan se tarsha hai badan, mehka hai jis amin gagan Yeh shookhian , yeh mastian, tumhain hawaoon e mile Zulfoon ko ghtaaon se mile Hoonto pe kaliyaan khil gaye, aankhoon ko jheel mil gaye Sheeshy ke jaise aangg hai, pholo ke jaisa rang hai Nadiyoon ki kheel si chaal hai Kia husn, hai kia haal hai Kaise bataoon main tumhain, mere liye koun ho Takta ho jise main har pall tumhi wo tasveer ho Tumhi taqdeer ho mera tumhi nazara ho mera Tumhi sitara ho mera Mere sare jeevan main tum Har pal main tum, har kanchin main tum Mere liye sagar bhi sagar bhi tum, mere

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imka'n jana'n

      ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imka'n jana'n yad kya tujh ko dilayein tera paima'n jana'n yun hi mausam ki ada dekh k yad aya hai kis qadar jald badal jate hain insa'n jana'n zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai hu ne jaise bhi basar ki tera ehsa;n jana'n dil yeh kehta hai k shayad ho fasurda tu bhi dil ki kia bat karein dil to hai ada'n jana'n aww-awwal ki mohobbat k nashe yad to kar bepiye bhi tera chehra tha gulista'n jana'n aaKhir aaKhir to ye aalam hai k ab hosh nahi rag-e-meena sulag uthi k rag-e-jaan jana'n muddaton se yeh alam na tavaqqo na ummeed dil pukare hi chala jata hai jana'n jana'n hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakha tha Ghum-e-dayran se juda hia ghum-e-jana'n ab k kuch aisi saji mahafil-e-yara'n jana'n sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-gireba'n jana'n har koi apni hi awaz se kaanp uThta hai har koi apne hi saaye se hirasaa'n jana'n jis ko dekho wohi zanjeer-ba-paa l

Itni si duaa hay k anay wala har lamha

Itni si duaa hay k anay wala har lamha Haseen chahtoon k phool bakshay urooj baksahy Tumhari duniya mein roshni ho Tumhari mahfil mein khushian hun Kabi b tum tak dukhun ki dastak na punch paiy Tumhari annkhun mein jo sitaray chamak rahay hain Yoon hi chamaktay rahain hamesha Tumharay dil tak judayion,befayion ki koi andari kiran na punchay. Khuda karay k tum har aik dil ka qarar looto Tumhari har aik tumnna har aik khawahish tumharay honton tak atay atay tumharay qadamon tak aa punchay Jo ho sakay to main tumharay sab dukhun ko apnay andar utar lun. Janta hun yah momkin nehi magar Duaa to mera haq hay. Yah mukhtasir duaaion ka tuhfa sanmbal rakhna. Meray anderon ki fikar chur do. Tum bas appna khail rakhna.....................

Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu

Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu.. Meray Hathoon Se Apna Hath Chura Laina.. Apnay Daman Se Meri Umeedain.. Meray Sajdoon Se Apna Ser Hata Laina.. Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu.. Toar Daina Pyaar Ki Zanjeerain.. Mita Laina Apnay Hathoon Se Lakeerain.. Meri Ankhoon Se Apnay Khawaab.. Khawaboon Se Meri Tasweer Mita Laina.. Magar Shert Yeh Hai.. Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..

Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Bus Tum Mughe Achi Lagti HO Tum Itni Sundar Ho Ke Nahi! Tumhe Aik Nazar Jo Dekhe Woh Sudh Budh Bhoole,Madhosh Rahe Bus Tum Mughe Achi Lagti Ho Tum Hans Do Tu Mausam Badle Tum Jago Tu Dunya Jage Jhilmil Jhilmil Manzar Hon Sub Aur Na Sooghe Kuch Aagey Bus Tum Ko Dekhein,Dekhte Hi Jayein Maloom Nahin Tum Itni Pyari Itni Sundar Ho Ke Nahin Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Dosti Kya Hai???

Dosti Kya Hai??? Kia khabar tum ko dosti kia hai Ye roshni bhi hai andhera bhi hai Khwahishon say bhara jazeera bhi hai Bohat anmol ik heera bhi hai Dosti ik haseen khwab bhi hai Pass say dekho tou sarab bhi hai Dukh milnay pe ye azab bhi hai Aur ye piyar ka jawaz bhi hai Dosti yoon tou maya jaal bhi hai Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai Kabhi zameen kabhi falak bhi hai Dosti jhoot bhi hai such bhi hai Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai Dosti saaz bhi sangeet bhi hai Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai Wafa kia hai wafa bhi dosti hai Dil say nikli dua bhi dosti hai Bus itna samajh lay tou Piyar ki inteha bhi dosti hai

Tu Door Hai Mujhse, Par Paas Bhi Hai.

Tu Door Hai Mujhse, Par Paas Bhi Hai. Teri Kami Mein Kahin, Tera Ehsaas Bhi Hai. Tujhse Se Dost Hain Lakhoon Jahan Mein Mere Par Tu Dost Bhi Hai Aur Khaas Bhi Hai Tune Khushiyan Mujhe Itni Di Hain Ke Aaj Tujhe Khone Ka Dil Mein Ehsaas Bhi Hai Khuda Ne Yun Nawaza, Teri Dosti Se Mujhe Ke Mujhe Khud Pe Gumaan Hai Aur Naaz Bhi Hai

dost ban-banke mile muJhko

dost ban-banke mile muJhko mitaane waale maine dekhe haiN kaI rang badalane waale tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale

Tum apnay apnay say lagay sou apna liya tumhain

Tum apnay apnay say lagay sou apna liya tumhain Haal-e-dil sab hi khul kay bata diya tumhain Kis tarah say chupatey dherkan kay shor ko Shor jab had say berha to suna diya tumhain Khaali khaali say dar-o-deewar they mere dil kay Is khalish ko jo pur kiya to saja diya tumhain Chalak rahi chahat mere chehrey say khushi ban kay Jab say dil ki panahoon main basa diya tumhain Soona soona sa tha meri umeedoon ka aangan Machalti umangoon ki tarap nay paa liya tumahin Kab say tanha phir raha tha humsafar ki talab main Bus younhi ik roz qismat nay mila diya tumhain Nikhra nikhra tumhara husan meri amanat samjhna Kali say badal kay gul-e-gulzaar bana diya tumhain Deewanay pan ki hadain choo raha jazboon ka junoon Doob kay mohabbat ki gehraiyoun main dikha diya tumhain Cheen na lay yeh ehsaas shaiki beyderd zamanay ki rasam Isi sabab duniyaan ki nazar say chuppa diya tumhain

Doosti aik nazuk sa Ehsaas hai

Doosti aik nazuk sa Ehsaas hai Jo kitni bhi door ho phir bhi dil ke bahut paas hai Koi nibha paye to dosti bahut khaas hai Aur naa samajh paye to ais ka matlab bilkul bakvaas hai Doost se kar sakte hain dil ki har baat Naa jaane phir bhi duniya ko dosti par kyun har pal aiteraaz hai Kyoon Eik ladka aur aik ladki dost nahi ho sakte Jab ke dosti ka rishta to har rishte se pak hai.

Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain

Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain Her Naye Moor Per Ek Zakm Naya Daitay Hain Tum Say To Khair Ghari Bher Ki Mulakat Rahi Log Barsoon Ki Rafakat Ko Bhula Daitay Hain Kaisay Mumkin Hai Ke Dhowan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jalay Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Daitay Hain Kon Hota Hai Musibat Main Kisi Ke Aag Lagti Hai To Patey Bhi Hawa Daitay Hain Jin Pay Hota Hai Bohat Dil Ka Bharosa faysal Waqt Parney Pey Wohi Log Daga Daitay Hain

Suno!

Suno! Tum Mujhe achi Lagti ho Tumhare bhooley pun sa baaat karna Mujhe Sacha Lagta hai Duniya ke Fareb Main Aik Tumhara Lehja he Sucha Lagta hai Tumhari Mohabbatain hia aik sogat Meri Tumhari zaat hai aik Roshan Sitara Zamane ki sakhti rahe Dor Tum se Sada Qaim rahe Rishta hamara Dua deta hai Yeh DiL hamara Youn he Sada khush raho Shad Raho Abad Raho khushiou se hum kanar raho

Dosti ka farz nibhaya tum ne

Dosti ka farz nibhaya tum ne Dil ko dharakna sikhya tum ne Zindagi ki rahoon mein... Humesha dil mein samaya hai tum ne In anderi rahoon mein roshni ka chirag laye ho tum Jaise dhoop mein khara hoon mein aur saye ho tum Saba ki in tez raftaroon mein Asman say aye tarey ho tum Tareef mein tumhari abb kia kahoon mein Banyan nhi kar skta inhen lafzoon mein Kabhi door nhi hona mujh say Rakhna humesha apne khayaloon mein.

Basi hain ajab khawashain mere dil main

Basi hain ajab khawashain mere dil main Mujhe chahe jane ki khawaish nahi hai Hameisha rahe woh mere samne bas Main us se kahoon aur woh mujh ko sune bas Mere dil main utre yeh hasrat nahi hai Basi hain ajab khawaishein mere dil main Mujhe chahe jane ki khawahish nahi hai Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye Jo main rooth jaon to mujh ko manaye Mere paas aaye zara muskaraye Jo main ro paroon to woh aansoo bahaye Dopatte ke pallu se meri bheegi palkon k aansoo samete Mere paas baithe Mujhe batlaye, Mujhe samjhaye Yeh har pal udaasi kuch achi nahi hai Tumhari nigahon main rim jhim yeh shabnam Kuch sajti nahi hai Nahi chahta main k woh mujh ko soche mujhi ko woh chahe Mujhe apne jeewan ka hissa banaye Mujhe us ki chahat se matlab nahi hai Us ki mohabbat ki chahat nahi hai Haan khawahish hai jis ki Hai woh lafz Tawajjah Woh shab Dosti hai

Rok lo Qadam Jee bhar ke dekhlo

Rok lo Qadam Jee bhar ke dekhlo Hamara tumhara saath bas yahin tak tha Manzil milay na milay ab hamari Kismat Ke Zindagi ke sath safar bas yahin tak tha Tum chal nahi sakte is se aage ek qadam Ruk jao ke Phoolon ka Chaman yahin tak tha Aage arahe hain gham mujh se milne gale Ke apni khushiyon ka thikana bas yahin tak tha Uttho aur naye Hamraahi talash karo Ke yeh khuwaab Suhana bas yahin tak tha

Subha ki thandak main

Subha ki thandak main Phoolon ki shabnam main Din ke ujaley main Chand ke haley main Sham ki shehnai main Raat ki tanhai main Dostoon ke jhameley main Aur beth ke akeley main Main ne dhonda saber-o-qarar Khushiyon ke mausam main Aanson ke aalam main Dosroon ki batoon main Beechain ratoon main Dostoon ki qurbat main Apno ki muhabat main Chand ki chandni main Main ne dhoonda saber-o-qarar Chain se na soya main Din raat roya main Haqeeqat hoyi mujh pe zahir Aur mil gaya mujh ko aakhir Merey dil ka saber-o-qarar Meri duaon main Sari iltajaon main Sadgi ebadat main Rab se muhabat main Aur phir koyi dukh koyi azaab Koyi ranj na raha iss khushi ke baad Maire Khaliq maire Malik Maire Allah se dosti ke baad

ay dost aoo

ay dost aoo meri janib apnay kadam barhaoo mein tum ko apnay safer par sath lay kar chalna cahte hoon ke pehly tum say kuch batay kah loo ta kay tum mujay samajh sako tumhay jazbat ki kader karni ho gi meri tanhaya hatam karni hoon gi mera har dukh har dard apna samajhna ho ga meri ankhoo mein chupe iss nami ko ponchna ho ga mera har gham jan na ho ga meray iss bikhray wajod ko lamha lamha samaytna ho ga meri har udasi ko apna banana ho ga meray har ansoo kay katray ko apni muskurahat say sajana ho ga mein kia bataoo kay tumhay aur kia karna ho ga meray liyeh ay dost kar kay mujh say doste ka haq ada tumhay mujh par ahsan karna ho ga

Itna hi yaad rakh mujhe

Itna hi yaad rakh mujhe Jaise kisi kitaab mein Beetey dinon ke dost ka Khat ik para huwa miley Lafz mitey mitey se hon Rang uraa uraa sahi Lekin woh ajnabi na ho Uth kar tere galey lage Bhoole huwe tamaam dukh Guzrey huwe tamaam sukh Beetey dinon ki kathaa Tujh se kahe aur ro pare Itna hi yaad rakh mujhe Beetey dinon ke dost ka Jaise koi khat hoon main Rakha huwa kitaab mein-

Ye na samajh k bichra hoon too bhool gaya hoon

Ye na samajh k bichra hoon too bhool gaya hoon Teri dosti ki khushbo mere hathoon main aaj bhi hai Mohabbat se bhar ker mujhe tum se aqidat hai aye dost Ye muqaam tera buland tera sab doston main aaj bhi hai Tu woh hai jo barson ki talash ka samer hai Tumhain sochna meri yaadon main aaj bhi hai Ye aur baat hai k majburiyon ne nibhane na di dosti Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai Mera her shair meri chahton ki gawahi de ga Chahton ki khushbo inn lafzon main aaj bhi hai Zindagi main jis ko bhar ker chaha wo tum he ho Wasy shamil her shakhs mare doston main aaj bhi hai Shairon ka lafz lafz tasawar bana hai Safhy safhy main ek aks kitabon main aaj bhi hai Her lamha zindagi main mohabatain naseeb hoon tumhain Shamil meri duaon main tu aaj bhi hai........!!!

Baat suno dostoo

Baat suno dostoo Jo bi dunia kehye us ko parkhye bina maan layna nehi sari dunia yeh kehti hai Parbaat par charnye ki nisbaat utarna bohat sehal hae Kis tarha maan lain ? Sarfarazi ki dhun mein Koi aadmi jab bulandi k rastye chalta hae toh baat tak karnye ko rukta nehi aur oushi shakhas ko umar ki siriyoon se utartye huye Paaoon uthta nehi Iss liye Dostoo jo bi Dunia kahe ous ko Parkhye bina jaan layna nehi Sari dunia yeh kehti hai aasal safar toh in aankhoon mein pheala huwa khawab hai Kis tarha maan lain ? tum ne dekha nehi umar kiss saraab mein b aajab khal hain khawab toh khawab hain hum khuli aankh se jo dekhtye hain woh hota nehi Rabtey k liye Rastye ki tarha aadmi apne khawaboon ko bi kaat dyta hae lekin sulagta huwa rasta phir bi kaata nehi Iss liye Dostoo jo bi dunia kahe

dosti ik anmol rishta hai

dosti ik anmol rishta hai jo ik phool ke manind hai woh phool ke jo khil kar sare bhaag ko mautar kar de haan dosti woh rishta hai jo do dilon se shoro hota hai magar janmon yaad rehta hai janmon sath rehta hai haan woh rishta hai, ke jo kabhi bulaya nhi ja sakta kabhi tora nhi ja sakta haan sachi dosti kabhi toot ti nhi kabhi mit ti nhi to aao phir ik ehad karen hum bhi sachi dosti karen

Bohat Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko

Bohat Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko Teray Pass Anay Ko Dil Chahata Hai Dosti Tujh Say Nahi Teri Seerat Say Ki Hai Is Liye Dost Bananay Ko Dil Chahata Hai Bharoosa Na Tha Dosti Par Kabi Hum Ko Teray Milnay Ke Bad Bharoosa Karnay Ko Dil Chahata Hai Hamain Narazgi Main Is Terhan Manaya Hai Tu Nay K Phir Ruth Janay Ko Dil Chahata Hai Tu Acha Hai Tujh Say Tu Rutha Na Jaye Per Tujhay Satanay Ko Dil Chahata Hai Dosti Nay Diya Bohat Faraib Hum Ko Mager Teri Dosti Ko Nibhanay Ko Dil Chahata Hai Tu Sehta Hai Sab Kuch Magar Piyar Kerta Hai ALLAH Say Tujhay Mangnay Ko Dil Chahata Hai

Yeh ik piyara sa jo rishta hai

Yeh ik piyara sa jo rishta hai Kuch mera hai, Kuch tera hai Kahen likha nahin kahen parha nahin Kahen dekha nahin, kahen suna nahin Phir bhi jana pehchana hai Kuch mera hai, Kuch tera hai Kuch masum sa, Kuch ulbela Kuch apna sa, Kuch begana hai Kuch chunchul sa, Kuch shurmila Kuch sukh sa, Kuch sunjida hai Kuch uljha howa, Kuch suljha suljha Kuch masti bhara, Kuch khafa khafa hai Kuch mera hai Kuch tera hai Yeh piyara sa jo rishta hai Kabhi kari dhoop main saya hai Kabhi andheri raat main jugnu hai Kabhi bin badal barsaat hai Kabhi bhutkay hawaon ka rah-bur hai Kabhi rasta hai, Kabhi munzil hai Kuch mera hai Kuch tera hai Yeh piyara sa jo rishta hai Kabhi dhagay say isay badha nahhin Kabhi ehad-o-paiya'n main jukra nahin Kabhi haq bhi to apna jutaya nahin Phir bhi yeh kitna piyara hai Jisay hum nay sachey moti ki turha Dil ki sipi main qaid kiya Sub ki nazro'n say dhanp liya Kabhi maan diya, kabhi aitbar kiya Sub kuch hi is par var diya Kuch mera hai Kuch tera hai Yeh piyara sa

Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye

Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye ke main tumhein kitna chahta hoon Tumse kitni mohabbat karta hoon To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab tumhain aisa lage ke koi tumhare sang nahi hai koi tumhara hamdam nahi hai To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab tumhain zindagi dushwar lage Jab koi umeed na koi aas ho koi bhe na tumhare pass ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Agar kabhi yadein bohat dukh de Tanhai ka ehsas bohat satae To usi din tum lautt aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab you lage tumhain ke Tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti Mazeed is aag main nahi jal sakti To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab har saans boojh lagne lage Tum andar hi andar tootne lago To ausi din tum lautt aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Na mile panah kisi key banhoon main Aur shiddat se kisi ke zaroorat ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi Jab yeh ehsas tumhain tadpane lage Ke tum ne k

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain chahe "manzil" "dushwar" ho aur "duur" bhi humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain yun to "raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi magar"chand"dekhoon to meri ratein badal jati hain mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain

Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,

Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen , Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen , Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi , Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen, Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare , Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen, Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath, Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen, Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto, Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen, Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste , Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen, Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain, Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen.

Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa

"Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh, Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa Woh Tere Naseeb Ki Baarishein Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun, Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein, Teri Aass Tere Gumaan Mein Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein, Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham, Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya, Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa

Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab...

Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab... Is rangein duniya mein udasi ka sabab... Is terha toot kay chahne ka sabab... yun apne dil mein Basane ka sabab... har lamha us ko sochne ka sabab... apne naam Se yun jorne ka sabab... bahoon mein rakhne ki tamana ka sabab... labon se choone ki tamana ka sabab.. juda ho janay kay dar ka sabab... kho janay kay dar ka sabab... bichar janay kay dar ka sabab... bhool janay kay dar ka sabab... kia kahoon mein...kia kehta bas yahi keh saka...Kay tum meri ho mujhay tum se mohabat hai..

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai Tum Dunya Ki Shedai Ho,Main Sapnon Ka Bashinda Sath Humain Yon Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Door Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai Wehshat K Saaz Pe Raksaan Matam K Kuch Alfaaz In Hontoon Pe Geet Sajana Kitna Mushkil Hai Apnay Hontoon Se Ana K Talay Hum Se Na Khol Payen Gain Door Hote Sathi Ko Bholna Mitna Mushkil Hai Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai Apne Zakham Logon Ko Dikhana Kitna Mushkil Hai Roz Muhj Se Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil Is Nadaan Bache Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai Hum Ankhoon Se Kehne Wale Tum Hontoon Ko Sunane Wale Apni Chahat Yon Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai

wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko

wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko dil main rehta hai kahan dhoondne jaon us ko ajj phir pehli mulaqaat se aaghaz keroon ajj phir door se hi dekh k aaon us ko qaid ker loon usse aankhoon k naha khaane main chahta hoon k kisi se na milaaon us ko usse duniya ki nigahoon se keroon main mehfooz wo wehaan ho k jehan dekh na paoon us ko chalna chaahe to rekhe paaoon mere sine pe bethna chahe to ankhon pe bithaoon us ko wo mujhe itna sabak , itna sabak lagta hai kabhi gir jaaye to palkoon se uthaon us ko mujhe maloom hai akhir to juda hona hai lekin ik baar to sine se lagaoon us ko YAAD se us ki nahi khaali koi bhi lamha phir bhi darta hoon kahin bhool na jaoon us ko mujh pe yeh raaz isi aik hawale se khula baat us ki hai mager kaise bataoon us ko yeh mera dil , mera dushman , mera deewan dil chahta hai ke sabhbi zakham dikhaoon usko aaj too dhoop main taizi hi bohat hai warna aapne saye se bhi shehzaad bahaoon us ko

khamo0sh hou khoay khoay hou

khamo0sh hou khoay khoay hou us sakhs kee yaad main roay hou woh jis nay tumhay barbad kiya bho0lay say kabhi na yaad kiya woh jis k piyar main barsun say tum jagey aur na soay hou jo saray rishtay cho0r giya aur tanha tum ko cho0rr giya tum ab bhi dil kee duniya main us sakhs kee yaad samoay hou

zaraa sii baat pe har rasm tor aayaa thaa

zaraa sii baat pe har rasm tor aayaa thaa dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii mai.n chand Khvaab zamaane me.n chor aayaa thaa

ek jhonka chu kar guzra hay

ek jhonka chu kar guzra hay koi yaar purana guzra hay phir yadain dil main jagi hain koi khusbo lay kar guzra hay phir zindagi yahan per tahar gai koi waqat thaam kar guzra hay phir beeti batain yaad ain koi sapna dikha kar guzra hay phir tere baywafai yaad ai koi rukh moor kar guzra hay phir pair hara sa gir gia koi dil toor kar guzra hay

"use dekaho jo tumahrye terf dekhta hai

"use dekaho jo tumahrye terf dekhta hai usse muhabat karo jo tum se muhabat kerta hai us ki suno jo tumahrye sunta hai or apna hath use jo thamna chata hai jo umda guftogo kerta hai wo muhbat kerny main der nhi kerta afreen hai us muhabat per jo izhar jo izhar se qabool hujaye muhabt apny ap ko peash karty hai ise kahreda nahi jasakta hai muhabat ek ase cheez hai jo sekhnye or batnye ki nahi muhabat or shak ek dil main jama nhi hutye muhabat dukhon ki ser zameen or anooson ka samander hai yeh moot ki wady or zindagye ka kahtma hai muhabt ager suchye hoto manzil tak phunchna asan hai muhabat kerty hai to zindagye baher ke liye karoo chand dinon ke liye kise ke jazabat;ahsasat;azmashon or khuwahisth se mat kahilo

laoon kahan se dhoond ke yaadon ki roshni

laoon kahan se dhoond ke yaadon ki roshni tareeq hogaya hai mohabbat ka yeh safar andhere mangne aae the roshni ki bheek hum apna gher na jalate to aur kiya kerte resham hoon roshni ka hawaoon mein ur na jaoon tu mughe ko pane lims ke anchal mein de panah tum bhi dene lage dunya ko andheron ka pata roshni bhi bhi to the aik zamane ke liye yeh kiya khabar thi ke daka pare ga ankhon per hamare gher mein humein roshni ne luta hai milti hai mughe ko iss ki lakiron mein roshni mein jab shafeeq dekhta hoon apne haath ko

Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta

Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta Main Jis Ki Chahat Ka Khawab Banta Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Main Yaad Ban Kar Azaab Banta Koi To Hota? Jo Meri Khwaish Main Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota Main Rooth Jaata Manata Mujh Ko Kay Chahe Mera Kasoor Hota Koi To Hota? Jo Mujh Ko Dil Ka Karar Kehta Ragoo Ka Apni Fishar Kehta Udaas Mosam Main Tazgi Ki Biyar Ban Kar Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta Koi To Hota? Dua Say Apni Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta Woh Iss Jahan Say Ghamon Ka Meray Hisab Leta Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton Kay Tamam Rishtay Koi To Hota? Main Jis Kay Itna Kareeb Hota Na Paas Koi Rakeeb Hota Main Tanha Uss Ka Habbib Hota Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota Koi To Hota? Aye Kaash Koi To Hota?

dil liyaa jis ne bevafaaii kii

dil liyaa jis ne bevafaaii kii rasm hai kyaa ye dil-rubaai kii tum ko a.ndeshaa-e-giraftaarii hai yaa.N tavaqqo nahii.n rihaai kii vasl me.n kis tarah huu.N shaadi-e-marg mujh ko taaqat nahii.n judaaii kii ek din tere ghar me.n aanaa hai baKht-e-taale ne gar rasaaii kii dil lagaayaa so naasaho.n ko kyaa baat jo apane jii me.n aai, kii 'Shefta' vo ki jis ne saarii umr diin-daarii-o-paarasaaii kii

Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Aap Bohat Yaad Aatay Hain Ghanghoor Ghataey Aate Hain Jab Nadyaan Jhomte Gaate Hain Jab Lahrain Shoor Machate Hain Jab Aap Bohat Yaad Aatay Hain Badal Baras Kar Chat Jatay Hain Qatray Mouti Ban Jatay Hain Kirnay Rang Bikhrate Hain Jab Aap Bohat Yaad Aatay Hain Do Dewanay Jab Miltay Hain Phool Mohabbat Kay Khiltay Hain Dewaray Bhi Gaate Hain Jab Aap Bohat Yaad Aatay Hain Chanda Tumhari Yadain Lay Kar Kirnoon Ke Barsatain Lay Kar Chaandni Ratain Aate Hain Jab Aap Bohat Yaad Aatay Hain

paas itna kyon mere aa rahe ho

paas itna kyon mere aa rahe ho pyaar itna kyon jataa rahe ho manzoor nahi humko pyaar tumhara phir kyon mere peeche aa rahe ho thak gayin hoon main zakhm bharte-bharte tum kyon inhe aur barhaa rahe ho andheron mein seekh liya hai jeena chiragoN ko kyon jalaa rahe ho tanhaaii mein umar hai guzri kyon mehfilon mein bulaa rahe ho uljhi huyi hai merii zindagani tum kyon ise suljhaa rahe ho ghamoN se hai apna rishta purana tum kyon inhe cheene jaa rahe ho ho sakta nahi sach jo kabhi bhi sapney aise kyon dikha rahe ho rahne bhi do mujhe mere haal pe kyon tum mujhe samjhaa rahe ho mar chuka hu main kabka laash meri,ab kyon jala rahe ho

man mausam kaa kahaa, chhaai ghataa, jaam uthaa

man mausam kaa kahaa, chhaai ghataa, jaam uthaa aag say aag bujhaa, phol khilaa, jaam uthaa pi mayray yar tujmay apni qasam dayta hon bhol ja shikva gila hath mila jam utha hath mayn jam jahan aaya muqadar chamka sab badal jay ga qismat ka likha jam utha ik pal bi kabi hojata hai sadio jaysa dayr kia karna yahahath barha jam utha piyar hi piyar hai sub log barabar hayn yahan mayqaday mayn koi chota na bara jam utha

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi, Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga ! Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka, Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga ! Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar, Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga ! Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga, Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga !

guzra zamaana teri mohabbat ka

guzra zamaana teri mohabbat ka Ek bhooli hui kahani hai Tere qoochay mein umy bhar na gahe Saari duniya ki khaak chaani hai Lazzat-e-wisl ho kay zakm-e-firaaq Jo bhi ho teri maharbaani hai Kis tamanna se tujhko chaha tha Kis mohabbat se haar maani hai Apni kismat pe naaz karta hoon Jab tere shaher se guzarta hoon

Ba awaz-e-buland ya sar basjood,

Ba awaz-e-buland ya sar basjood, sajda karo iltija karo Jo dil se nikley tumhare mere liye, aisi ik dua karo Kitni sadiaan guzri is baat ko, tumhain milney ko ab ankheen tarsi Jo tum se mujh ko mila sake tum aisa koi silsila karo Jaiz hai us rishte ka tootna jis mein milne ki chah na ho Chahte ho gar pana mujh ko tu har roz mujh se mila karo

"Mat karo mujh se itni mohabat mein tumhre pyaar ke kabil nahi

"Mat karo mujh se itni mohabat mein tumhre pyaar ke kabil nahi. .....Mein jis rah per hun us ki koi manzil nahi. .....Chaho to chaordo sath mera,Chaho to tor do phir dil mera. ......Jab us ne nahi kiya gila mujh se to mein kya karonga. ....Mujh se door reh kar khush raho yahi dil se dua karonga. ......kabhi yun bhi aa meri aankh mai meri nigah ko bhi khabar na hoo.....mujhe ek raat nawaz dey ke us ke baad sahar na ho..........woh bara raheem o kareem hai mujhe yeh sifaat bhi atta kare.....tujhe bholne ki duwa karon meri duwa mai bhi asur na ho..........tumhe jab kabhi milain fursatien meray dil say bojh utar do-----------main buhat ruttun say udaas hoon mujhay koi sham udhar do-------mujhay apnay roop ki dhoop do key chamak sakain meray khal-o-khad--------mujhay apnay rang main rang do meray saray rang utar do------kisi ko meray haal say na koi arz hai na wasta----main bikher gaYa hoon samet lo main bigher gaya hoon sanawar do------meri wehshaton ko barha dia hai judaion key azab

hansi ke raste pe chala karo

hansi ke raste pe chala karo khushiyo ki mahak liya karo pyar se dilon ko chuha karo jahan tumhe gum nazar aaye is nacheez ko yaad kiya karo har kali tujhse khushboo udhaar mange aftab tujhse noor udhaar maange Rab kare tu dosti aesi nibhaye ke log teri dosti tuj se udhaar maange kehte hai gam baatne se hota hai kam aesa hi kabhi pele maante the hum tere pyar ki nishani tera gam hi to mere pass wo bhi baat do to rahega kya mere pass sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar kyon yeh kinaro se takra kar palat jaati han karti hain vo kinare se bewafai ya phir sagar se wafa nibhati hain tumko chahne waale kam na hoon ge waqt ke saat magar ham na honge apna pyar chahe kisi ko bhi dena par teri yaad ke hakdaar sirf ham hi honge har phool khushbudaar nahi hota har pathar chamakdar nahi hota dosti dekh kar karna dost kyon ke har dost humsa dildaar nahi hota koi aankhon se baat kar leta hai koi aankhon main mulaqat kar leta hai bara mushkil hota hai jawab dena jab koi khamosh reh kar sawal kar

* DIL ka sukoon cheen ke asbab le gaYa*

* DIL ka sukoon cheen ke asbab le gaYa* woh shakhs meri neend mereY khuwaab le gaYa * in aateY jateY lamhon se ibarat hai zindagii haqeeqaT hain kabhi, kabhi hain yeh saraab lamheY * barri mushkil se daman mein samaiteY hain inheyn choo ke na dekh bareY nazuk hain mereY khuwaab bikher jayen gey * apneY aanChal se sitar0n pe mera naam na likh mein tera khuwaab h0on palk0n mein chupa le mujh ko * aesa na ho ke khuwahishon ke sheher mein khuwaab mein dekhoon lekin ta'abeer kissi or ko mileY * haQeeqat khul gaYi HasraT teri tark-e-mohabbaT ki tujhey to ab woh pehleY se bhi barrh ker Yaad aatey hain * hamein bhi khuwab0n ki duniYa azeez hai lekin zameen pe rehneY ka ehSaas maareY deta hai * khuwabon mein khuwaab us ke , yaadon mein yaad us ki Neendon mein ghull gaYa ho jaiseY ke rat-jaga sa Gya

Poochh Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,

"Poochh Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se, Pyaar Chhupta Nahin Chhupaane Se. Paas Aate Ho Chhoote Ho Baat Karte Ho, Kabhi Matlab Se Kabhi Bahaane Se. Pyaar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe, Aag Badhti Hai Ye Bujhaane Se. Tumhein Na Paana Shaayad Behtar Hai, Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaane Se. Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyee, Mil Liye Apne Ek Deewaane Se. Roye Jaate Ho, Bas Roye Jaate Ho, Kya Hoga Ye Dhan Lutaane Se. Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein, Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaane Se.

Mujh say apna pyaar kabhi wapas mat lena

Mujh say apna pyaar kabhi wapas mat lena Mujh say ya iqrar kabhi wapas mat lena Kehtay rehna mujh ko har pal main tera hoon Mujh say ya izhaar kabhi wapas mat lena Sajta rehna jhoomar ban kar matha par Mujh say ya singhar kabhi wapas mat lena Ankhain roshan rakhna apni yadoon say Mujh sa ya deedar kabhi wapas mat lena Khsboo ban kar basna mera tan man main Mujh say ya mehkar kabhi wapas mat lena

Uthaa kay haath Khuda say bas maangi yahi dua,

Uthaa kay haath Khuda say bas maangi yahi dua, naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada.. Tum ko rahat milay , tum ko chahat milay, tumhain saray jahan ki muhabbat milay.. Jahan main sab se hon achay tumharay naseeb, koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay.. Dil ki har aarzooo poori Khuda karay, tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay.. Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan, dua hay yeh bas tum ko kabhi gham na milay yahan

meri her ik ada mai chupi thi teri muhabat

meri her ik ada mai chupi thi teri muhabat to nay mahsoos na ki ye aur baat hai mai nay her dam teray hi khuwaab dekhay mujhay tabeer na mili ye aur baat hai mai nay jub bhi tujh se baat kerna chahi mujahy alfaaz na milay ye aur baat hai mai teri muhabat k samander mai duur tak nikla mujhay sahil na mila ye aur baat hai qudrat nay likha tha tujh ko meri taqdeer main teri qismat mai main na tha ye aur baat ha

Jin ko Hum Kabhi Jantay bhe nahi Unhi saay Mohabbat Ho jati hai

Jin ko Hum Kabhi Jantay bhe nahi Unhi saay Mohabbat Ho jati hai Chund Din Chund Lamhay Saath Guzartay hain Mohabbat ho jati hai Khayalat Miltay Hain Sochain bhe Milti hai Mohabbat ho jati hai DiL ke Chund Batain bhe Hoti hain jin saay Mohabbat ho jati hai Sochon main Khayalon main aur najanay kyun Mohabbat ho jati hai Kisike Kuch Batain DiL main utar jati hain Mohabbat ho jati hai Yehto Mohabbat hai na dekhay hua bhe lakin Mohabbat ho jati hai Hazaroon Faslay Hotay hain Dil ek hota hai Mohabbat ho jati hai

udaas raaton me tez kaufi(cafe') ki talkhiun me...

udaas raaton me tez kaufi(cafe') ki talkhiun me... woh kuch ziada hi yaad aata he serdiun me.. mujhe ejaazat nahi us ko pukaarne ki jo goonjta he lahoo mein seene ke dherkano mein.. woh bachpana jo udaas raaton me kho gaya me dhoondhta hun use tumhaari sharaarton mein.. use dilaasa to de rahaa hun magar ye sach he kahin koi khouf badh raha he tasalliun mein.. tum apni poron se kia likh gae the jaana chiraagh roshan hein meri hatheliun mein.. jo tu nahi to wo mukammal na ho sakengi teri yeh ehmiat he meri kahaniun mein.. mujhe yaqeen he wo thaam lega wo bheram rakkhe ga yeh maan he to diye jalaae hein aandhiun mein.. her ik mousam me roshni bikherte hein tere gham ke chiraagh meri udaasiun mein..!!

Who masoom se pyari se Bachi

Who masoom se pyari se Bachi Who masoom se pyari se Bachi Jo tetlioon ko pakerti thi Khushbo se khilti thi Rang us k dost thay Pholo ke Who sathi thi Shour bhi kafi karti thi Khilti thi, Hasti thi, Gatti thi Phir yon howa k barri Who ho gai Asoloon k samnay khari Who ho gai Aandhion k rukh us nay moor diay Rawajoon k kilay us nay toor diay Us ko ranj bhi mila gham bhi Dukh bhi mila setam bhi Sub ko bardash karti rahi Roz jeti rahi roz marti rahi AKHIR KAAR Zamin pay thay Paon Zamin Asman Chup ho gai Who Kahi kho gai Who Kuch na kheti thi Who Chup hi rehti thi Who Us main Sabar a gaya Usay koi bha gaya Naye khwab Who bonnay lagi Muskuranay lagi Gungunanay lagi App hi App Who Sharmanay lagi Mujh se khenay lagi Hai mujh ko kuch hogaya Mara chain kho gaya Yeh kai bat hai Na din hai na raat hai Mainay sirf itna kaha Hain sabhi BEWAFA Na yoon Dil ko laga Be Aqal maan jah Dil ko appnay samjha Meri halat bhi dekh Tha yeh hi minay kiya Mager tooh Palat ja Na mani who meri bat ko Chal pari kisi

Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do,

Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do, Tadapte Dil ke Dard Ki Yun Dawa Na Do, Duniya Ke Gam Saunp Kar Mujhe, Ab Khush Rehne Ki Dua Na Do, Dikhla Kar Maikhane Ka Rasta Phir, Aab-E-Zam Zam Ki Sada Na Do, Kaante Bhar Kar Mere Daaman Mein, Mujhe Phoolon Ki Si Ada Na Do, Mila Kar Zeher Mere Jaam Mein, Mujhe Bewajah Maut Ki Wajah Na Do, Gunaah Jo Sarzad Hua Hai Mujhse, Pal Pal Begunahi Ki Saza Na Do, Badnaam Kar Ke Uski Galiyon Mein Ab, Uske Aashiyaane Ka Tumhi Pata Na Do, Mohabbat Karte Hai, Dikhana Nahi Jaante, Ilzaam Magroori Ka De Kar Ye Sila Na Do, Jala Rakha Hai Ummidion Ka Diya Sadiyon Se, Pal Bhar Ki Khalish Se Ise Bujha Na Do, Main Ek Na-Chiz Sahi Kisike Dilka Hissa Hoon, Mujhe Yun Safah-E-Hasti Se Mita Na Do, Zaib Nahi Deta Mujhe Mohabbat Ka Husool, Nafrat Hi Sahi, TarQ-E-TalluQ Ki Magar Hawa Na Do, Chheen Kar Mujhse Zindagi Meri, Mujhe Aur Jeene Ki Baddua Na Do...

Haasil Ho Mujhko Himmat Itni Ke Faqt

Haasil Ho Mujhko Himmat Itni Ke Faqt Duniya Ko Dikha Dun Apni Shujat Ya Rab, Ho Mera Naam Bhi Un Naamon Mein Shaamil, Jo Mohabbat Mein Kar Gaye Hai Uncha Naam Ya Rab, Tere Hathon Pe Bhi Saje Heena Ka Surkh Rang, Mere Khoon Mein Bhi Shaamil Ho Rang-E-Hina Ya Rab, Tujhko Bhi Haasil Ho Uroosa Ka Rutba, Mujhko Bhi Uska Nosha Bana De Ya Rab, De Tofiq Itni Tu Dani Ko, Na Ho Usse Koi Nadani Ya Rab...

Teri Hi Tarah Hamein Yaad Aane Wala Ho

Teri Hi Tarah Hamein Yaad Aane Wala Ho, Tere Siwa Bhi Koi To Satane Wala Ho, Har Ek Subah Yahi Dil Mein Hook Uthti Hai, Hamein Bhi Naaz Se Koi Jagane Wala Ho, Wo Kis Ummid Mein Ghar Mein Rakhein Ke Jis Ghar Mein, Na Aane Wala Ho Na Koi Jaane Wala Ho, Har Ek Se Nazrein Milayi Hai Unke Kuche Mein, Ki Jaise Ab Koi Hum Ko Bulane Wala Ho, Hai Dosto Ke Liye Aayina Nazar Meri, Nazar Milaye Jo Nazrein Milane Wala Ho, Ke Jaise Koi Bala Mujhpe Aane Wali Hai, Haraas Kehta Hai Koi Bachane Wala Ho, Hamare Shaher Mein Kya Kya Saje Sajaye Hai Ghar, Hamare Ghar Ko Bhi Koi Sajane Wala Ho...

Khizaan ke rang mein abhii bahaar baaqii hai

Khizaan ke rang mein abhii bahaar baaqii hai chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai hame.n salaam karo ai havaadis-e-dauraa.N tumhaare saath hai.n phir bhii qaraar baaqii hai guzar chukaa hai ummiido.n kaa qaafilaa kab kaa raah-e-yaqiin pe ab bhii Gubaar baaqii hai hame.n pukaar lo jab chaaho ham mile.nge vahii.n mile hai.n Khaak me.n lekin vaqaar baaqii hai

Mujhe Kab Aarzu Thi Ho Mera Anjaam Chupke Se,

Mujhe Kab Aarzu Thi Ho Mera Anjaam Chupke Se, Tumhare Dard Ko Hi Aa Gaya Aaram Chupke Se, Saba, Khushbu Nahi Hai Ye Jise Tum Mushtahar Kar Do, Saba Le Jao Par Dena Use Paigam Chupke Se, Udhar Aankhein Mili Humne Idhar Dil De Diya Apna, Khareeda Dard Chori Se Chukaya Daam Chupke Se, Main Tere Dhyaan Mein Gum Hoon To Sab Hi Dhyan Rakhte Hai, Mere Aangan Mein Aati Hai Hamesha Shaam Chupke Se, Jo Humne Waqt-E-Aakhir, Aakhri Ek Saans Khicha Tha, Liya Tha Kaanpte Hothone Tera Naam Chupke Se...

Zindagi Kya Koi Nisaar Kare,

Zindagi Kya Koi Nisaar Kare, Kisse Duniya Mein Koi Pyaar Kare, Apna Saaya Bhi To Apna Dushman Hai, Kaun Ab Kiska Aitbaar Kare, Dilke Zakhm Zubaan Par Laya Nahi Karte, Hum Apni Aankhon Se Aansu Bahaya Nahi Karte, Zakhm Dilke Kitne Hi Gehre Kyon Na Ho, Hum Apne Honthon Se Muskurahat Hataya Nahi Karte...

Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle,

    Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle, Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle, Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasoor Hai, Tere Gam Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle, Mera Pyaar Jal Raha Hai, Arey, Chaand Aaj Chhup Jaa, Kabhi Pyaar Tha Hamein Bhi Teri Chandni Se Pehle, Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Yeh Ilm Hota, Ke Hazaron Gam Milenge Mujhe Ek Khushi Se Pehle, Ye Ajeeb Imtehaan Hai Ke Tumhi Ko Bolna Hai, Mile Kab The Is Tarah Hum Tumhe Be-Dili Se Pehle, Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle, Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle...

Manzar Hai Wahi Thakthak Rahi Hoon

Manzar Hai Wahi Thakthak Rahi Hoon, Hairat Se Palkein Jhapak Rahi Hoon, Ye Tu Hai Ke Mera Wahem Hai, Band Aankonse Tujhko Tak Rahi Hoon, Jaise Ke Kabhi Na Tha Taarruf, Yun Milate Hue Jhijhak Rahi Hoon, Pehchaan Main Teri Roshni Hoon, Aur Teri Palak Palak Rahi Hoon, Kya Chain Mila Hai Sar Jo Uske, Shaano Pe Rakhe Sisak Rahi Hoon, Ek Umr Hui Hai Khud Se Ladte Andar Se Tamaam Thak Rahi Hoon...

Yeh To Aaj Tumhri Bewafayi Ne

    Yeh To Aaj Tumhri Bewafayi Ne Tumhare Be-Atnayi Ne, Mujhe Tanha Kar Diya, Kirchi Kirchi Kar Diya, Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun, Aaj Ki Raat Kategi Kaise, Kal Ka Din Katega Kaise, Zindagi Meri Kategi Kaise, Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun, Wo Jo Tumhari Baatein, Wo Jo Tumhare Irade, Kahan Gaye Wo Waade, Jo Tum Sab Bhool Chuke Ho, Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun...

Uske Haathon Pe Heena Paanv Mein Payal Hogi

Uske Haathon Pe Heena Paanv Mein Payal Hogi, Ek Deewar Magar Beech Mein Hayail Hogi, Uske Jalwon Ke Bahtu Paas Main Hounga Lekin, Wo Kisi Aur Ki TaQdeer Ka Haasil Hogi, Surkh Kapdon Pe Saje Taar Na Honge Mere, Uski Aankhon Mein Mere Pyaar Ki Jhilmil Hogi, Jaate Jaate Wo Mujhe Pyaar Se Dekhegi Jab, Rote Rote Wo Meri Rooh Mein Shaamil Hogi, Mujhse Wo Door Bahut Door Chali Jayegi, Ye Kahani Bhi Sar-E-Bazm Mukammal Hogi...

Jaa Ke Phir Laut Jo Aaye Wo Zamana Kaisa,

Jaa Ke Phir Laut Jo Aaye Wo Zamana Kaisa, Teri Aankhone Ye Chheda Hai Fasana Kaisa, Aankh Sarshare Tamanna Hai Tu Wada Kar Le, Chaal Kehti Hai Ke Ab Laut Ke Aana Kaisa, Mujhse Kehta Hai Ke Saaye Ki Tarah Sath Hai Hum, Yun Na Milne Ka Nikla Hai Bahana Kaisa, Iska Shikwa To Nahi Hai, Na Mile Tum Humse, Ranj Iska Hai Ke Tumne Hamein Jaana Kaisa, Khud Hi Socha Tha Bahut Usne Bhi Puchha Tha Bahut, Haal Jab Khud Hi Na Samjhe To Sunana Kaisa, Tujhko Paane Ki Khwahish Thi So Kise Tha Malum, Apne Hi Aap Ko Kho Baithenge Paana Kaisa...

Kisi Aur Hi Safar Mein,

Kisi Aur Hi Safar Mein, Sar-E-Raah Mil Gayi Thi, Tujhe Aur Kya Bataun, Wo Teri Tarah Koi Thi, Kisi Shair-E-Beymaan Mein Main Watan Badar Akela, Kabhi Maut Ka Safar Tha, Kabhi Zindagi Se Khela, Mera Jism Jal Raha Tha, Wo Ghat Ka Saaybaan Thi, Main Rafakaton Ka Maara, Wo Meri Mizajdan Thi, Mujhe Dil Se Usne Pooja, Use Jaan Se Maine Chaha, Isi Humrahi Mein Aakhir, Kahin Aa Gaya Doraha, Yahan Gumrahi Ka Amkaan, Use Rang-O-Boo Ka Lapka, Yahan Laghrashon Ke Saman, Use Khwahishone Thapka, Yahan Daam The Hazaron, Yahan Har Taraf Nafs The, Kahin Zar-Zameen Ka Dal-Dal, Kahin Jaal The Hawas Ke, Wo Faza Ki Fakhta Thi, Wo Hawa Ki Rajputri, Kisi Ghaat Ko Na Dekha, Kisi Jheel Par Na Utri, Phir Ek Shaam Aisi Aayi, Ke Wo Shaam Aakhri Thi, Koi Zalzala Sa Aaya, Koi Barq Si Ghiri Thi, Ajab Aandhiyan Chalin Phir, Ke Bikhar Gaye Dil-O-Jaan, Na Kahin Gul Wafa Tha, Na Chirag Aid-P-Paimaan, Wo Jahaz Utar Ga

Meri Sab Wafayein Tumhare Liye,

Meri Sab Wafayein Tumhare Liye, Mere Ehad-O-Paiam Tumhare Liye, Meri Sab Adayein Tumhare Liye, Meri Sab Jafayein Tumhare Liye, Meri Raaton Ki Neendein Tumhare Liye, Meri Ratjagein Bhi Tumhare Liye, Dhadakta Hai Dil Ye Tumhare Liye, Meri Nass Nass Mein Chahat Tumhare Liye, Meri Saanson Ki Garmi Tumhare Liye, Mere Honthon Ki Narmi Tumhare Liye, Hai Phoolon Mein Khushbu Tumhare Liye, Hai Taaron Ki Jhilmil Tumhare Liye, Meri Zindagi Ab Tumhare Liye, Meri Har Khushi Ab Tumhare Liye, Tu Hai Bani Sirf Mere Liye Main Hoon Bana Sirf Tumhare Liye, Haan!!!!! Sirf Tumhare Liye...