Skip to main content

Aaj rootha huwa ik dost bohot Yaad aaya

Aaj rootha huwa ik dost bohot Yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.....

meri aankhon k her ik ashk pe ronay wala
aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya......

jo merey dard ko seeney mein chupa leta tha
aj jab dard huwa muj ko bohot yaad aaya.....

jo meri aankh mein kajal ki tarha rehta tha
aj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.....

jo mere dil k tha kareeb faqat us ko hi
aj jab dil ney bulaya tu bohot yaad aaya.....

merey jeevan ki her khusi mein wohi tha Sonu
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.....

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng