Skip to main content

Hafaa na hoo hum chaley jatay hain

Hafaa na hoo hum chaley jatay hain
Sadaa khush rahoo hum chaley jatay hain

Hum DIL ko thaam ker chaley jatay hain
Bool jaoon tumein yeh mumkin nahin

Booloon kessey bataoo hum chaley jatay hain
Kiya hataa hoi hum say yeh to bataoo

Juram sabat keroo hum chaley jatay hain
DILWALE ka DIL howa hai tukray tukray

Tukray utha loo hum chaley jatay hain
Hafaa na hoo // hum chaley jatay hain

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng