Skip to main content

Aaye ho to thoDa baitho, ek raaz ki baat batate haiN

Aaye ho to thoDa baitho, ek raaz ki baat batate haiN
tum samjho ya na samjho phir bhi tum ko samjhate haiN

Jee kar ke naam kamana to aksar logon ko ata hai
kuchh aise log bhi hote hain jo mar kar naam kamate haiN

Pahle to pyar ki baateiN wo sharma sharma batlate they
ab haale dil ka afsana batla kar ke sharmate haiN

Pahle wo Ghusse maiN aksar ruk ruk karke chal padte they
Ab mere khayaloN mein shayad chalte chalte ruk jate haiN

Maalum nahiN dil ki dharkan seeney mein hai ya mahfil meiN
lekin ham unke jaate hi beychain bohat ho jate haiN

Koi dhundo us shaair ko jisne chand achchhe sher likhe
likhte likhte Wasey aksar khud mein hi gum ho jate haiN

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.