Skip to main content

Baat suno dostoo

Baat suno dostoo
Jo bi dunia kehye
us ko parkhye bina maan layna nehi
sari dunia yeh kehti hai
Parbaat par charnye ki nisbaat utarna bohat sehal hae
Kis tarha maan lain ?
Sarfarazi ki dhun mein
Koi aadmi jab bulandi k rastye chalta hae
toh baat tak karnye ko rukta nehi
aur oushi shakhas ko
umar ki siriyoon se utartye huye Paaoon uthta nehi
Iss liye Dostoo
jo bi Dunia kahe
ous ko Parkhye bina jaan layna nehi
Sari dunia yeh kehti hai
aasal safar toh in aankhoon mein pheala huwa khawab hai
Kis tarha maan lain ?
tum ne dekha nehi
umar kiss saraab mein b aajab khal hain
khawab toh khawab hain
hum khuli aankh se jo dekhtye hain woh hota nehi
Rabtey k liye Rastye ki tarha aadmi
apne khawaboon ko bi kaat dyta hae
lekin sulagta huwa rasta phir bi kaata nehi
Iss liye Dostoo
jo bi dunia kahe

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.