Skip to main content

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...

 
 
mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ne orh liya matami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por mein khush si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai...

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.