Skip to main content

Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain

Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain
Her Naye Moor Per Ek Zakm Naya Daitay Hain

Tum Say To Khair Ghari Bher Ki Mulakat Rahi
Log Barsoon Ki Rafakat Ko Bhula Daitay Hain

Kaisay Mumkin Hai Ke Dhowan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jalay
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Daitay Hain

Kon Hota Hai Musibat Main Kisi Ke
Aag Lagti Hai To Patey Bhi Hawa Daitay Hain

Jin Pay Hota Hai Bohat Dil Ka Bharosa faysal
Waqt Parney Pey Wohi Log Daga Daitay Hain

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.