Skip to main content

Jab Tak Main Zindah Hoon Mujhe Ji Bhar Sata Lo!

Jab Tak Main Zindah Hoon Mujhe Ji Bhar Sata Lo!
Phir Kis Per Meray Baad Yah Ahsaan Karo Gay

Dekho Na Satao Chup Rahnay Do Aye Dost!
Mar Jain Gay Jis Din Tu Bohut Yaad Karo gay!

Bhar Aay Ga Dil Tum Se Anson Na Rokain Gay!
Ro Ro Kay Tasawur Main Humain Yaad Karo Gay

Aajao Kay Nahi Lagta Ab Dil Kisi Sourat!
Kia Is Dil Ko Kabhi Na Aabaad Karo Gay

Aye Dost Tumhain Chaha Hai Tamannaon Se Barhkar!
Khud Aik Rooz Is Baat Ka Iqrar Karo Gay

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng