Skip to main content

Lafz Adhoray Lagtay Hain Har Baat Adhori Lagti Hai

Lafz Adhoray Lagtay Hain Har Baat Adhori Lagti Hai
Chand Bhi Nahi Nikla Ye Raat Adhori Lagti Hai
 

Baras Rahay Hain Badal Meray Ashiyanay Per Qahar Ki Tarhaan
Abhi Tota Nahi Makaan Mera Ye Barsaat Adhori Lagti Hai
 

Kab Tak Sahara Den gi Umeedain Meri Sansoon Ko
Milta Nahi Koi Maharbaan Ye Kainaat Adhori Lagti Hai
 

Milti Hain Khushiyaan Bhi Mujhay Lamhoon Ke Wasta
Gar Gham Hi Moqadar Hain To Ye Soghaat Adhori Lagti Hai
 

Kis Se Gila Karoon Koun Sune ga Meri Daastan-E-Tanhaai
Likha Tha Jis Per Mera Naseeb Wo Kitaab Adhori Lagti Hai

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng