Skip to main content

Yeh ik piyara sa jo rishta hai

Yeh ik piyara sa jo rishta hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai

Kahen likha nahin kahen parha nahin
Kahen dekha nahin, kahen suna nahin

Phir bhi jana pehchana hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai

Kuch masum sa, Kuch ulbela
Kuch apna sa, Kuch begana hai

Kuch chunchul sa, Kuch shurmila
Kuch sukh sa, Kuch sunjida hai

Kuch uljha howa, Kuch suljha suljha
Kuch masti bhara, Kuch khafa khafa hai

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Kabhi kari dhoop main saya hai
Kabhi andheri raat main jugnu hai

Kabhi bin badal barsaat hai
Kabhi bhutkay hawaon ka rah-bur hai
Kabhi rasta hai, Kabhi munzil hai

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Kabhi dhagay say isay badha nahhin
Kabhi ehad-o-paiya'n main jukra nahin
Kabhi haq bhi to apna jutaya nahin

Phir bhi yeh kitna piyara hai
Jisay hum nay sachey moti ki turha
Dil ki sipi main qaid kiya
Sub ki nazro'n say dhanp liya

Kabhi maan diya, kabhi aitbar kiya
Sub kuch hi is par var diya

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.