Skip to main content

Ba awaz-e-buland ya sar basjood,

Ba awaz-e-buland ya sar basjood,
sajda karo iltija karo
Jo dil se nikley tumhare mere liye,
aisi ik dua karo

Kitni sadiaan guzri is baat ko,
tumhain milney ko ab ankheen tarsi
Jo tum se mujh ko mila sake tum
aisa koi silsila karo

Jaiz hai us rishte ka tootna
jis mein milne ki chah na ho
Chahte ho gar pana mujh ko
tu har roz mujh se mila karo

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.