Skip to main content

dil liyaa jis ne bevafaaii kii

dil liyaa jis ne bevafaaii kii
rasm hai kyaa ye dil-rubaai kii

tum ko a.ndeshaa-e-giraftaarii hai
yaa.N tavaqqo nahii.n rihaai kii

vasl me.n kis tarah huu.N shaadi-e-marg
mujh ko taaqat nahii.n judaaii kii

ek din tere ghar me.n aanaa hai
baKht-e-taale ne gar rasaaii kii

dil lagaayaa so naasaho.n ko kyaa
baat jo apane jii me.n aai, kii

'Shefta' vo ki jis ne saarii umr
diin-daarii-o-paarasaaii kii

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.