Skip to main content

Kaise bataon main tumhain..



Kaise bataon main tumhain..
Mere liye tum koun ho
Yaadon main tum, khawabo main tum
Saanso main tum, aanhoon main tum
Mere liye hansana bhi tum, mere liye rona bhi tum
Mere liye pana bhi tum,mere liye khona bhi tum
Tum subah main tum shaam main
Tum sooch main, tum ho mere har kaam main
Tum din main, tum raat main
Tum ho meri har baat main
Kaise bataoon main tumhain, mere liye koun ho
Yeh jo tera roop hai, yeh zindagi ka dhoop hai
Chandan se tarsha hai badan, mehka hai jis amin gagan
Yeh shookhian , yeh mastian, tumhain hawaoon e mile
Zulfoon ko ghtaaon se mile
Hoonto pe kaliyaan khil gaye, aankhoon ko jheel mil gaye
Sheeshy ke jaise aangg hai, pholo ke jaisa rang hai
Nadiyoon ki kheel si chaal hai
Kia husn, hai kia haal hai
Kaise bataoon main tumhain, mere liye koun ho
Takta ho jise main har pall tumhi wo tasveer ho
Tumhi taqdeer ho mera tumhi nazara ho mera
Tumhi sitara ho mera
Mere sare jeevan main tum
Har pal main tum, har kanchin main tum
Mere liye sagar bhi sagar bhi tum, mere liye sahil bhi tum
Mere liye rasta bhi tum, mere liye manzil bhi tum
Kaise bataaon tumhain,mere liye ..........
Kaise bataoon main tumhain, mere liye koun ho
Kaise bataoon main tumhain, mere liye koun ho

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng