Skip to main content

TU NEY AGIYAR SE MAHFIL KO SAJA RAKHA HAI

TU NEY AGIYAR SE MAHFIL KO SAJA RAKHA HAI
MAIN KHUD SE B MAGAR KHUD KO BACHA RAKHA HAI
 

KYA HUWA JO TU MARE SATH NAHIN CHAL SAKTA
HAMSAFAR YAAD K JHUKON KO BANA RAKHA HAI
 

UMAR BHAR SATH NA CHORIN GY SADA CHAHIN GY
SIRF ILAFZ THY, ILAFZ MAIN KYA RAKHA HAI
 

BEWAJA MAIN NEY GIREBAN KO NAHIN CHAK KIYA
SANG TU NEY B HATON MAIN UTHA RAKHA HAI
 

THI FAROZAN KABHI EK SHAMA_E_MUHABAT JIS MAIN
MUJH KO DEWANA US DIL NE BANA RAKHA HAI
 

DAM-BAKHUD DEAKH RAHA HAI WOH MARE DAMAN KO
MARE DAMAN MAIN TO BAS KHUWAB-E-WAFA RAKHA HAI

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng