Skip to main content

dost ban-banke mile muJhko

dost ban-banke mile muJhko
mitaane
waale
maine dekhe haiN
kaI rang
badalane waale
tumne
chup rehkar
sitam aur bhee
Dhaayaa
mujhpar
tumse achchhe
haiN mere
haal pe haNsne waale

maiN to
ikhalAq ke hathoN hi
bikA kartaa
hooN
aur hoNge tere
baazAr meiN
bikne waale
akhree
daur pe
salaam-e-dil-e-mustar le
lo
phir
naa lauTenge
shab-e-hiJr pe
ronewaale

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.