Skip to main content

wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko



wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko
dil main rehta hai kahan dhoondne jaon us ko

ajj phir pehli mulaqaat se aaghaz keroon
ajj phir door se hi dekh k aaon us ko

qaid ker loon usse aankhoon k naha khaane main
chahta hoon k kisi se na milaaon us ko

usse duniya ki nigahoon se keroon main mehfooz
wo wehaan ho k jehan dekh na paoon us ko

chalna chaahe to rekhe paaoon mere sine pe
bethna chahe to ankhon pe bithaoon us ko

wo mujhe itna sabak , itna sabak lagta hai
kabhi gir jaaye to palkoon se uthaon us ko

mujhe maloom hai akhir to juda hona hai
lekin ik baar to sine se lagaoon us ko

YAAD se us ki nahi khaali koi bhi lamha
phir bhi darta hoon kahin bhool na jaoon us ko

mujh pe yeh raaz isi aik hawale se khula
baat us ki hai mager kaise bataoon us ko

yeh mera dil , mera dushman , mera deewan dil
chahta hai ke sabhbi zakham dikhaoon usko

aaj too dhoop main taizi hi bohat hai warna
aapne saye se bhi shehzaad bahaoon us ko

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.