Skip to main content

man mausam kaa kahaa, chhaai ghataa, jaam uthaa

man mausam kaa kahaa, chhaai ghataa, jaam uthaa
aag say aag bujhaa, phol khilaa, jaam uthaa

pi mayray yar tujmay apni qasam dayta hon
bhol ja shikva gila hath mila jam utha

hath mayn jam jahan aaya muqadar chamka
sab badal jay ga qismat ka likha jam utha

ik pal bi kabi hojata hai sadio jaysa
dayr kia karna yahahath barha jam utha

piyar hi piyar hai sub log barabar hayn yahan
mayqaday mayn koi chota na bara jam utha

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng