Skip to main content

Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye

Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye
ke main tumhein kitna chahta hoon
Tumse kitni mohabbat karta hoon
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab tumhain aisa lage ke
koi tumhare sang nahi hai
koi tumhara hamdam nahi hai
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab tumhain zindagi dushwar lage
Jab koi umeed na koi aas ho
koi bhe na tumhare pass ho
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Agar kabhi yadein bohat dukh de
Tanhai ka ehsas bohat satae
To usi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi


Jab you lage tumhain ke
Tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti
Mazeed is aag main nahi jal sakti
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab har saans boojh lagne lage
Tum andar hi andar tootne lago
To ausi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Na mile panah kisi key banhoon main
Aur shiddat se kisi ke zaroorat ho
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab yeh ehsas tumhain tadpane lage
Ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko
Yah phir koi tumhain tukra de
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Aankhoon main ajay agar ashk tumhari
Aur koi shaks pouchne wala na ho
koi ghum bant ne wala na ho
To usi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Koi tord de agar dil tumhara
Ho agar na koi muqabil tumhara
Tanhai ka ehsas bohat sataee
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Yeh to dukh deti hain sada
Tumhain bhe yadein sataye jab
Mehfil main bhe khud ko tanha paoo
To us din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Yeh mera wada raha tumse
Jo kuch bhe main ne kaha tumse
Yeh sab na bhool paoo gi
Tum muje sada,sada apna muntazir paoo gi,

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng