Skip to main content

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai



Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Tum Dunya Ki Shedai Ho,Main Sapnon Ka Bashinda
Sath Humain Yon Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Door
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Wehshat K Saaz Pe Raksaan Matam K Kuch Alfaaz
In Hontoon Pe Geet Sajana Kitna Mushkil Hai

Apnay Hontoon Se Ana K Talay Hum Se Na Khol Payen Gain
Door Hote Sathi Ko Bholna Mitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apne Zakham Logon Ko Dikhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Se Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bache Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Se Kehne Wale Tum Hontoon Ko Sunane Wale
Apni Chahat Yon Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng