Skip to main content

ay dost aoo

ay dost aoo
meri janib apnay kadam barhaoo
mein tum ko apnay safer par sath lay kar chalna cahte hoon ke
pehly tum say kuch batay kah loo
ta kay tum mujay samajh sako
tumhay jazbat ki kader karni ho gi
meri tanhaya hatam karni hoon gi
mera har dukh har dard apna samajhna ho ga
meri ankhoo mein chupe iss nami ko
ponchna ho ga
mera har gham jan na ho ga
meray iss bikhray wajod ko
lamha lamha samaytna ho ga
meri har udasi ko apna banana ho ga
meray har ansoo kay katray ko
apni muskurahat say sajana ho ga
mein kia bataoo
kay tumhay
aur kia karna ho ga meray liyeh
ay dost
kar kay mujh say doste ka haq ada
tumhay mujh par ahsan karna ho ga

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng