Skip to main content

Subha ki thandak main

Subha ki thandak main
Phoolon ki shabnam main
Din ke ujaley main
Chand ke haley main
Sham ki shehnai main
Raat ki tanhai main
Dostoon ke jhameley main
Aur beth ke akeley main
Main ne dhonda saber-o-qarar
Khushiyon ke mausam main
Aanson ke aalam main
Dosroon ki batoon main
Beechain ratoon main
Dostoon ki qurbat main
Apno ki muhabat main
Chand ki chandni main
Main ne dhoonda saber-o-qarar
Chain se na soya main
Din raat roya main
Haqeeqat hoyi mujh pe zahir
Aur mil gaya mujh ko aakhir
Merey dil ka saber-o-qarar
Meri duaon main
Sari iltajaon main
Sadgi ebadat main
Rab se muhabat main
Aur phir koyi dukh koyi azaab
Koyi ranj na raha iss khushi ke baad
Maire Khaliq maire Malik
Maire Allah se dosti ke baad

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.